dard kagaz pe utara to gazal ban gayi

dard kagaz pe utara to gazal ban gayi,
usne zulfon ko sanwara to gazal ban gayi.

bikhre bikhre se phirte rahe yun hi hum,
husan ne ishq ko pukara to gazal ban gayi.

log likhte rahe zindagi ke pal pal ka hisaab,
naam likha jo tumhara to gazal ban gayi.

aana aur jaana tera kisi gazal se kam nahi,
tu mudkar na aayi dobara.. to gazal ban gayi.

duniya ke rishton ne luta jee bhar humein yaro,
jab gam-e-zindagi ne mara to gazal ban gayi.

badi dil freb thi alam-e-zindagi ki rounke,
waqt jab tannha guzara to gazal ban gayi.

lafzon ki kashish mein koi kami si thi jaise,
raaj.. zikar jab aaya tumhara to gazal ban gayi.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts