kab ka chhord diya maine

sahil pe kashtiyan dubana kab ka chhord diya maine,
unki yaad mein aanshu bahana kab ka chhord diya maine.

toote dil mein ab koi umeed na koi aarzoo rahi bakki,
aandhiyon mein chiraag jalana kab ka chhord diya maine.

khuda jaane aaj phir kyon unki aankh mein nami si hai,
haal-e-dil unko sunana kab ka chhord diya maine.

unka wada hai khawbon mein aksar aate raheinge,
woh kya jaane khaab sajana kab ka chhord diya maine.

mujhe girane ki firak mein aankho se pila rahe hain,
nashe ke alam mein lardkhadana kab ka chhord diya maine.

suno zamane waalo.. be-wajha unko badnaam na karo,
unki gali mein aana-jana kab ka chhord diya maine.

ho sake to koi humin hamari manzil ka patta de de,
bhatke logo ko rah dikhana kab ka chhord diya maine.

raaj ke band honto ko ab koi zehmat gawara nahi,
keh do duniya se.. muskurana kab ka chhord diya maine. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts