ek tera hi chhehra bhulaya nahi jata

gairon ko ghar bulaya nahi jata,
haal-e-dil sabko sunaya nahi jata.

shayad tere liye duaa maang saku,
apne liye to daman falaia nahi jata.

tum hi bhar do jholi meri kanto se,
sab ke dar pe to jaaya nahi jata.

dekhne bhar se he sihar uthta hoon,
zakhm-e- jigar ko sehlaya nahi jata.

bhulne ko bhool jaoun khuda bhi,
ek tera hi chhehra bhulaya nahi jata.

humme tumme ajeeb hai yeh takaluf,
aap bulate nahi, hum se bulaya nahi jata.

mat itrao kagaz ke phool bechne walon,
kyon ki inse aashiyana mehkaiya nahi jata.

raaj.. kayi pathar zakham bhi de jate hai,
har pathar ke aage sar jhukaya nahi jata.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts