accha.. koi baat nahin

meri yaadein, meri sansein, meri dhardkan hai teri,
inhein apna naa banao.. to koi baat nahin.

dil mein palti hui khamosh mohabbat ki kasam,
mere khwaabon ko rula do
.. to koi baat nahin. 

ghum mein rote huye ashkon ke machalte sholey,
inhein paon se kuchal do
.. koi baat nahin. 

dil mein palti hui khamosh umangon ki kasam,
meri duniya mein naa aao
.. to koi baat nahin. 

zindagi aise mita doon ki wafa ho tujhse,
mujhe apna naa banao
.. to koi baat nahin. 

uljhe-uljhe se khayalon mein tumhe chaaha hai,
meri yaadon mein na aao
.. to koi baat nahin. 

har lamha tumhe chaha hai mere zakhmon ne,
inhein hans-hans ke rulaao
.. to koi baat nahin. 

teri yaadon mein tardapte huye giton ki kasam,
mere nagmon ko sula do
.. to koi baat nahin. 

tere ghum mein main subah-sham hans lunga,
meri raaton ko sazaa do
.. to koi baat nahin. 

meri hasti, meri kashti, tum hi meri daulat ho,
mujhe sahil pe duba do
.. to koi baat nahin. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts