hum roz jeene ke naye bahaane dhoondte hain

khandharon mein guzare hue zamaane dhoondte hain,
hum roz jeene ke naye bahaane dhoondte hain,

chhuti uski kalai aur humne botal thaam li,
aa jaata hai hosh jahan.. maikhane dhoondte hain,

kuch bataane se pehle hi ho jaate hain khaak,
woh kya hai jo shama mein parwaane dhoondte hain,

ghar tha chhota magar dil mein jagah kaafi thi,
woh chhote dil waale.. unche gharaane dhoondte hain,

tujhe jalakar bhi unko chain nahi aaya raaj,
ab raakh mein jaane kaunse khazaane dhoondte hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts