kyonki tum aaj bhi mere saath ho

yaddon ke mausam mein dil ki kori zameen pe,
kuch beej chhahat ke boyie the maine kabhi,
unko seencha tha apne khoon-e-jigar se maine kabhi,


aaj sadiyon ke intezaar ke baad,
kuch ankur safeed rang ke foot parde hain,
jinko dekh ke main hairat main hoon,

aur man hi man yeh soach raha hoon,
yeh kaisi fasal uggi hai meri chhahat ki,
kori zameen mein se kore se ankur!

in mein bhi meri tarha koi rang nahi,
koi khushbu nahi koi harkat nahi,

in ankuro ke paude banne ke intezaar mein,
main baitha hoon iss aas pe ki shayad,
inka rang kuch hara ho jaaye,

in par bhi laal rang ke phool khile,
lekin main yeh bhool gaya hoon,

aakhir to yeh uuge hain mere dil ki zameen pe,
inko seencha hain apne khoon-e-jigar se maine,

phir kyon joothi umeed sajaye baitha hoon,
ki yeh hare honge aur in par laal rang ke phool khilenge,

phir aachanak mere jhaen main yeh baat aayi,
ki haan inko tere komal haathon ka saparsh mila hai,

woh ek lamha jab tu mere samne aayi thi,
aur tune mujhse nazar milayi thi,

shayed woh anmol lamha hi inko hara kar de,
inki har dallyi laal phoolon se bhar de,

mera dil yeh manta hai ki tum bahar ho,
iss bekraar dil ka karaar ho,

meri wafa ho mera pehla pyar ho,
mere man mandir ki devi ho tum,

janmo se meri talaash ho tum,
meri pyasi dhardkno ki pyaas ho tum,

haan mujko yakeen hai ki yeh paude hare honge,
aur in par laal rang ke phool bhi khilenge,
kyonki tum aaj bhi mere saath ho.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts