ha main janta hoon

kya toota kya bikhar gaya, yeh main janta hoon,
aandhiyon mein chiraag jalane ki saza.. main janta hoon,

jaane woh kaun log the jinko mila sila mohabbton ka,
zakham-e-mohabbat ki tarap ka mazza.. main janta hoon.

door se dekho isko paas jaoge to pachhtaoge,
zindagi ke chhehre pe hai kya likha.. main janta hoon.

unke mohalle se uthe jo mera arthi to kya baat hai,
unki baahon mein marne ka mazza.. main janta hoon.

o chaand taro tum to yuhi bewajha jaagte ho,
kisi ki yaadon mein jagne ka mazza.. main janta hoon.

kyon bewajha mujhe zindagi se milate ho yaarron,
zindagi aur maut ke beech ka khala.. main janta hoon.

woh khaffa hai raaj se yeh bhi janta hoon main,
unki narazgi mein bhi hai ik adda.. main janta hoon.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts