aaj bhi woh har lamha saans le raha hai

us waqt ki har yaad dil mein zinda hai,
jab hum ek duje ke saath the,
woh har lamha saans le raha hai,
jo teri aagosh mein guzara tha maine,
woh har ehsaas chal phir raha hai,
jo humne ek duje ko diya tha.

woh raste aaj bhie wahi kharde hain,
jin par chalkar hum mile-bichde,
woh aam ka peid sadiyon tak,
hamari kahani dohrata rahega,
mile the do dhardkte dil mere saye mein,
yeh sacchai zamane ko batata rahega,
woh mazaar hamare pyaar ki gawahi deta rahega.

yaha sajda karke manga tha ek duje ko,
saath jeene marne ka wada kiya tha,
woh har ehsaas chal phir raha hai,
jo humne ek doje ko diya tha.

woh mehkti huyi khushbu,
jo shayad hamare jismo se aa rahi thi,
woh sheetal si hawa gungunati huyi,
hamari chhahat ka geet gati huyi,
woh bojhil saansein humme behkati huyi,
teri aankho mein uttra hua mera akas,
meri dhardkano mein tu samati huyi,
chand lamho main poora jeevan jeeya tha,
woh har ehsaas chal phir raha hai,
jo humne ek doje ko diya tha.

woh pakshiyon ka chechahana, 
hamari dhardkno ka madhur geet gana,
dil ki baatein ek doje ko batana, 
woh haan haan.. woh naa naa,
tera roothna aur mera manana,
bezubaan chhahat ka khamosh sa afsana,
saye ki tarha tera liptna mujhse,
mera tujhme saanso ki tarha sama jana,
tere badan ko apne honto se sehlana,
tujhe chupke se apne aang lagana,
tere badan pe apna naam likh diya tha,
woh har ehsaas chal phir raha hai,
jo humne ek doje ko diya tha...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts