kya yehi pyar hai?

jagana raaton ko,
ginna taro ko,
chando ko sanam kehna..
kya yehi pyar hai?

ghanto milna unse,
karna baatein unse,
phir bhi tardap..

kya yehi pyar hai?

sochna unko,
unki baatein
bebaat pe hasna..

kya yehi pyar hai?

lagta to aisa hi tha pehle,
jab main nadan tha,
nahi mila tha unse,
nahi hua tha pyar mujhe.

kehta tha sab bekaar hai,
koi kisi ke liye kyon tardpe,
kyon kar jaage raaton ko,
nadan tha tab main shayad.

judai ki tadap,
payar ki kasak,
na mil pane ki bebasi,
nadan tha tab main shayad.

aaye jab se zindagi mein tum ho,
ghante ka milna ek pal sa lagta hai,
ek pal judai ka ek sadi sa lagta hai,
pyar hua tha mujhe shayad.

yaad aate hai woh lamha,
jab dekha tumko pehli baar,
dil jaise bhool gaya tha dhadkana ek pal ko,
pyar hua tha mujhe shayad.

door hogaye ho tum mujhse aaj,
bhool gaye ho tum mujhko aaj,
koi aur hai zindagi mein tumhare aaj,
ab samjha hoon tannhai ka matlab.

rooti hain aankhein meri,
ruthi hai meri muskan,
na chah hai jeene ki,
na hi koi tamaana meri,

mangta hoon maut har pal,
mere bahgwan ko manzoor nahi,
ek jhalak ki hi dua shayad kabool hai usko,
tabhi zinda hoon shayad aaj tak, 

kya yehi pyar hai?

main us din mar hi jaounga jab tum milne aaogi

main taaron se ghar ko sajounga jab tum milne aaogi,
main chaand ko payal pehnaounga jab tum milne aaogi.

main raat ki aankh mein kajal lagounga jab tum milne aaogi,
main suraj ko chiraag dikhaounga jab tum milne aaogi.

main phoolon se khushboo churaounga jab tum milne aaogi,
main sehra mein nadiya bahaounga jab tum milne aaogi.

main aakash ko zamin pe laounga jab tum milne aaogi,
main sare dardon ko bhool jaounga jab tum milne aaogi.

main tere kadmon mein bicch jaounga jab tum milne aaogi,
main us din mar hi jaounga jab tum milne aaogi.

woh bhi kya din the

kya din the.. sote the tere aachal ke tale,
aaj kafan ko tarsi padi hai laash meri tere dar pe,

kya din the.. jab milke phir milne ko tarste the,
aaj beet gaya zamana, jhalak teri dekhe hue,

kya din the jab.. soti raaton mein jaaga karte the,
aaj sone ko tarsta hai dil, ke dekhun tujhe khawab mein,

woh bhi kya din the.. hansi teri misri ghol jaati thi,
aaj aawaz sune bhi teri... tarse bahithe hain.

woh bhi kya din the.. jab sang muskurate the,
aaj rone ko bhi kandha dhundhte hain. 

ha iski bhi koi wajah to nahi

tujh ko chahun koi wajah nahi,
bhool jaun tujhko, iski bhi koi wajah to nahi.

jeeyun hans ke, koi wajah nahi,
bahaun aanshu, iski bhi koi wajah to nahi. 

payar to tha kuch humare beech be-wajaha nahi,
jo doori hai aaj darmiya humare, iski bhi to wajha nahi.

kashmakash jo hai tere chehre pe, uski koi wajah nahi,
kayam rahe dosti humari, iski bhi koi wajah to nahi.

mile hum phir kabhi, iski koi wajah nahi,
umeed rahe baaki milan ki, iski bhi koi wajah to nahi.

aaj bhi woh har lamha saans le raha hai

us waqt ki har yaad dil mein zinda hai,
jab hum ek duje ke saath the,
woh har lamha saans le raha hai,
jo teri aagosh mein guzara tha maine,
woh har ehsaas chal phir raha hai,
jo humne ek duje ko diya tha.

woh raste aaj bhie wahi kharde hain,
jin par chalkar hum mile-bichde,
woh aam ka peid sadiyon tak,
hamari kahani dohrata rahega,
mile the do dhardkte dil mere saye mein,
yeh sacchai zamane ko batata rahega,
woh mazaar hamare pyaar ki gawahi deta rahega.

yaha sajda karke manga tha ek duje ko,
saath jeene marne ka wada kiya tha,
woh har ehsaas chal phir raha hai,
jo humne ek doje ko diya tha.

woh mehkti huyi khushbu,
jo shayad hamare jismo se aa rahi thi,
woh sheetal si hawa gungunati huyi,
hamari chhahat ka geet gati huyi,
woh bojhil saansein humme behkati huyi,
teri aankho mein uttra hua mera akas,
meri dhardkano mein tu samati huyi,
chand lamho main poora jeevan jeeya tha,
woh har ehsaas chal phir raha hai,
jo humne ek doje ko diya tha.

woh pakshiyon ka chechahana, 
hamari dhardkno ka madhur geet gana,
dil ki baatein ek doje ko batana, 
woh haan haan.. woh naa naa,
tera roothna aur mera manana,
bezubaan chhahat ka khamosh sa afsana,
saye ki tarha tera liptna mujhse,
mera tujhme saanso ki tarha sama jana,
tere badan ko apne honto se sehlana,
tujhe chupke se apne aang lagana,
tere badan pe apna naam likh diya tha,
woh har ehsaas chal phir raha hai,
jo humne ek doje ko diya tha...

shayad mujhe unka aaj bhi intezaar hai

tanhai hai zindagi mein meri,
yeh kisi apne ki hi den hai,

aankhon mein jo aanshu hain,
yeh kisi ki yaad mein aaye hai.

dil pe zakham hain itne,
yeh kisi ke payar ki nishaan hai,

jaagi raaton mein taaron ko ginnta hoon,
shayad mujhe chand ki talash hai,

dard se nahi darrta main aaj bhi,
shayad mujhe aaj bhi unse payar hai.

aankhon pe intezaar, honton pe muskaan hai,
shayad mujhe unka aaj bhi intezaar hai. 

toote hue taare ko dekh kar

toote hue taare ko dekh kar maine kaha, 
aye dil.. mang le tu bhi fariyad koi,

par dil se awaaz aayi ki.. 
jo khud toot raha hai, 
kaise poori karega woh fariyad koi.

where are you

where are you?
I can’t find you anywhere.
I look in all the places we shared,
but you aren’t there.

I look on the shore of the beach
with the waves rolling in.
I catch glimpses of times when we were there
holding hands, laughing & teasing,
walking together, expressions in our
eyes we do share.

of sunsets together
watching the moomn rise above us
stars glistening brightly against the sky,
as together in body we do lust

I look all around searchiong for you
here somewhere but, you are not there.

I look in the woods that together
with the wolves we did roam
looking all around in the trees and brooks,

suddenly I feel so alone,
I pray that I will find you again somewhere
for I want no other in which my life to share.

so if you hear an echo in the woods,
or along the beach shore in ur dreams tonight,
it is my voice calling to you
to come back and be mine in the moonlight……

I will wait for you here..
always for you, my sweet dear! 

ab to tumhara pyaar sirf ek yaad ban gaya

rishton ka naam naa dete to
jeene ka sahara to hota,

woh kashish hoti, intezaar hota,
milne ko dil bekarar to hota,

ab to tumhara pyaar,
sirf ek yaadgar ban gaya.

tumhein paane se tumhein khone tak

kaunsa dard hai jo dil ne saha nahi,
kabhi tumse lekin kuch kaha nahi,

tumhein paane se tumhein khone tak,
mere paas kuch bhi raha nahi,

tannha hue to har dard dil mein aa basa,
tumhare samne magar ek bhi aanshu baha nahi.

you never walk alone

you never walk alone my friend,
though you may think you do,

for in your sorrow and despair
God always walk with you.

there is no hour, no passing day
he is not by your side

and though unseen, he is still there
to be your friend and guide.

whenever you think you walk alone,
reach out and you will find

the hand of God to show the way
and bring you peace of mind.

main aur meri tannhai

rehte hain sath sath, main aur meri tannhai,
karte hain raaz ki baat, main aur meri tannhai,

din to guzar hi jata hai logon ki bhird mein,
karte hain basar raat, main aur meri tannhai,

sanson ka kya bharosa, kab chord jaaye saath?
lekin raheingi saath, main aur meri tannhai,

aaye na tumhein yaad kabhi, bhool kar bhi hum,
karte hain tumhein yaad, main aur meri tannhai,

aa ke paas kyon door ho gaye hum se,
karte hain teri talash, main aur meri tannhai,

tum ko rakheinge saath, frame bana ke ghar ki,
reh jaaye phir na tannha, main aur meri tannhai. 

aa jaao.. dil tumhein bulata hai

aa jaao.. dil tumhein bulata hai,
dard-e-judai ab na saha jata hai,
sardiyon ki gun guni dhup mein,
humein tera saath lubhata hai.

chaman mein khile gulabon ko,
palkon mein kaid khaabon ko,
meri chhahat ke sailaabon ko,
tu kyon samajh nahi pati hai.

sard chandni raaton mein,
dil ke bheege jazbaaton mein,
pal do pal ki mulakaaton mein,
tu chhipke mujhe satati hai.

jab meri aagosh mein hoge tum,
mujhe adhron se chhu loge tum,
ek ehsaas suhana doge tum,
raaj umeedon ka jahan sajata hai,

aa jaao dil tumhein bulata hai,
dard-e-judai ab na saha jata hai. 

kyonki tum aaj bhi mere saath ho

yaddon ke mausam mein dil ki kori zameen pe,
kuch beej chhahat ke boyie the maine kabhi,
unko seencha tha apne khoon-e-jigar se maine kabhi,


aaj sadiyon ke intezaar ke baad,
kuch ankur safeed rang ke foot parde hain,
jinko dekh ke main hairat main hoon,

aur man hi man yeh soach raha hoon,
yeh kaisi fasal uggi hai meri chhahat ki,
kori zameen mein se kore se ankur!

in mein bhi meri tarha koi rang nahi,
koi khushbu nahi koi harkat nahi,

in ankuro ke paude banne ke intezaar mein,
main baitha hoon iss aas pe ki shayad,
inka rang kuch hara ho jaaye,

in par bhi laal rang ke phool khile,
lekin main yeh bhool gaya hoon,

aakhir to yeh uuge hain mere dil ki zameen pe,
inko seencha hain apne khoon-e-jigar se maine,

phir kyon joothi umeed sajaye baitha hoon,
ki yeh hare honge aur in par laal rang ke phool khilenge,

phir aachanak mere jhaen main yeh baat aayi,
ki haan inko tere komal haathon ka saparsh mila hai,

woh ek lamha jab tu mere samne aayi thi,
aur tune mujhse nazar milayi thi,

shayed woh anmol lamha hi inko hara kar de,
inki har dallyi laal phoolon se bhar de,

mera dil yeh manta hai ki tum bahar ho,
iss bekraar dil ka karaar ho,

meri wafa ho mera pehla pyar ho,
mere man mandir ki devi ho tum,

janmo se meri talaash ho tum,
meri pyasi dhardkno ki pyaas ho tum,

haan mujko yakeen hai ki yeh paude hare honge,
aur in par laal rang ke phool bhi khilenge,
kyonki tum aaj bhi mere saath ho.

ha main janta hoon

kya toota kya bikhar gaya, yeh main janta hoon,
aandhiyon mein chiraag jalane ki saza.. main janta hoon,

jaane woh kaun log the jinko mila sila mohabbton ka,
zakham-e-mohabbat ki tarap ka mazza.. main janta hoon.

door se dekho isko paas jaoge to pachhtaoge,
zindagi ke chhehre pe hai kya likha.. main janta hoon.

unke mohalle se uthe jo mera arthi to kya baat hai,
unki baahon mein marne ka mazza.. main janta hoon.

o chaand taro tum to yuhi bewajha jaagte ho,
kisi ki yaadon mein jagne ka mazza.. main janta hoon.

kyon bewajha mujhe zindagi se milate ho yaarron,
zindagi aur maut ke beech ka khala.. main janta hoon.

woh khaffa hai raaj se yeh bhi janta hoon main,
unki narazgi mein bhi hai ik adda.. main janta hoon.

sitaron tum to soo jaao

pareshan raat saari hai, sitaron tum to soo jaao,
sakun-e-marg thodi hai,  
sitaron tum to soo jaao,

hanso aur hanste-hanste dub jaao khayalon mein,
hum-hi pe raat bhari hai, 
sitaron tum to soo jaao,

humein to aaj bhi bhoor tak jagna hai,
yehi kismat hamari hai, 
sitaron tum to soo jaao,

tumhe kya? aaj bhi koi agar milne naa aaye,
yeh baazi humne haari hai, 
sitaron tum to soo jaao,

kahe jaate ho ro-ro kar humara haal duniya se,
yeh kaisi rajdaari hai, 
sitaron tum to soo jaao,

humein bhi nind aa jayegi, hum bhi so hi jayenge,
abhi kuch bekarari hai, 
sitaron tum to soo jaao, 

accha.. koi baat nahin

meri yaadein, meri sansein, meri dhardkan hai teri,
inhein apna naa banao.. to koi baat nahin.

dil mein palti hui khamosh mohabbat ki kasam,
mere khwaabon ko rula do
.. to koi baat nahin. 

ghum mein rote huye ashkon ke machalte sholey,
inhein paon se kuchal do
.. koi baat nahin. 

dil mein palti hui khamosh umangon ki kasam,
meri duniya mein naa aao
.. to koi baat nahin. 

zindagi aise mita doon ki wafa ho tujhse,
mujhe apna naa banao
.. to koi baat nahin. 

uljhe-uljhe se khayalon mein tumhe chaaha hai,
meri yaadon mein na aao
.. to koi baat nahin. 

har lamha tumhe chaha hai mere zakhmon ne,
inhein hans-hans ke rulaao
.. to koi baat nahin. 

teri yaadon mein tardapte huye giton ki kasam,
mere nagmon ko sula do
.. to koi baat nahin. 

tere ghum mein main subah-sham hans lunga,
meri raaton ko sazaa do
.. to koi baat nahin. 

meri hasti, meri kashti, tum hi meri daulat ho,
mujhe sahil pe duba do
.. to koi baat nahin. 

kai mord hain dikhaye iss zindagi ne

kai mord hain dikhaye iss zindagi ne,
kaun apne hain kaun paraye.. yeh bataya zindagi ne.

ghumon ke daur se gujar kar jab hum bikhar rahe the,
raahon mein phir umeed ke phool mehkaaya zindagi ne.

hum to kar chuke the dafan har apne adhure khwaab ko,
manzil ko paane ki hasrat phir dil mein jagaya zindagi ne.

saahil se takrra kar jis tarah lehar mil jaati hai saagar mein,
us tarah mujhe zindagi se milaya phir zindagi ne.

“raaj” ko naaz tha apni mohobbat par, par woh sirf weham nikla,
na tut kar bikhar jaaon, phir kuch aap jaise doston se milaya zindagi ne.

ek tera hi chhehra bhulaya nahi jata

gairon ko ghar bulaya nahi jata,
haal-e-dil sabko sunaya nahi jata.

shayad tere liye duaa maang saku,
apne liye to daman falaia nahi jata.

tum hi bhar do jholi meri kanto se,
sab ke dar pe to jaaya nahi jata.

dekhne bhar se he sihar uthta hoon,
zakhm-e- jigar ko sehlaya nahi jata.

bhulne ko bhool jaoun khuda bhi,
ek tera hi chhehra bhulaya nahi jata.

humme tumme ajeeb hai yeh takaluf,
aap bulate nahi, hum se bulaya nahi jata.

mat itrao kagaz ke phool bechne walon,
kyon ki inse aashiyana mehkaiya nahi jata.

raaj.. kayi pathar zakham bhi de jate hai,
har pathar ke aage sar jhukaya nahi jata.

koi to yeh bata do humein yaaro

khushi ka ek lamha na naseeb hua humein yaaro,
kyamat tak lambi mili zindagi 
humein yaaro.

khatta kya hoti hai sab se poocha humne,
khatta ki talash mein mili har pal saza 
humein yaaro.

wafa ki tizarat jinka imaan ban chukka hai,
logo se kehte phirte hai bevafa 
humein yaaro.

mat lagao meri soach pe bandishe yaaro,
do ghadi to sakoon se jeene do 
humein yaaro.

toot ke bikhar chukki hai zindagi to phir se,
dil ke taaron mein pirone do 
humein yaaro.

unki yaadein iss dil ke dhardkne ka sabab hai,
unki yaddon mein hi kho jaane do 
humein yaaro.

raat ke sihayi daman pe khoon-e-jigar se,
kate hathon se unki tasveer banane do 
humein yaaro.

meri chhat pe mat tehlo yeh keh do khawabo se,
kyi dino se neend nahi aati 
humein yaaro.

raaj kya tha.. woh yeh samajh hi na sake,
woh kya hai, koi yeh bata do 
humein yaaro.

dard kagaz pe utara to gazal ban gayi

dard kagaz pe utara to gazal ban gayi,
usne zulfon ko sanwara to gazal ban gayi.

bikhre bikhre se phirte rahe yun hi hum,
husan ne ishq ko pukara to gazal ban gayi.

log likhte rahe zindagi ke pal pal ka hisaab,
naam likha jo tumhara to gazal ban gayi.

aana aur jaana tera kisi gazal se kam nahi,
tu mudkar na aayi dobara.. to gazal ban gayi.

duniya ke rishton ne luta jee bhar humein yaro,
jab gam-e-zindagi ne mara to gazal ban gayi.

badi dil freb thi alam-e-zindagi ki rounke,
waqt jab tannha guzara to gazal ban gayi.

lafzon ki kashish mein koi kami si thi jaise,
raaj.. zikar jab aaya tumhara to gazal ban gayi.

kab ka chhord diya maine

sahil pe kashtiyan dubana kab ka chhord diya maine,
unki yaad mein aanshu bahana kab ka chhord diya maine.

toote dil mein ab koi umeed na koi aarzoo rahi bakki,
aandhiyon mein chiraag jalana kab ka chhord diya maine.

khuda jaane aaj phir kyon unki aankh mein nami si hai,
haal-e-dil unko sunana kab ka chhord diya maine.

unka wada hai khawbon mein aksar aate raheinge,
woh kya jaane khaab sajana kab ka chhord diya maine.

mujhe girane ki firak mein aankho se pila rahe hain,
nashe ke alam mein lardkhadana kab ka chhord diya maine.

suno zamane waalo.. be-wajha unko badnaam na karo,
unki gali mein aana-jana kab ka chhord diya maine.

ho sake to koi humin hamari manzil ka patta de de,
bhatke logo ko rah dikhana kab ka chhord diya maine.

raaj ke band honto ko ab koi zehmat gawara nahi,
keh do duniya se.. muskurana kab ka chhord diya maine. 

let me free

I plead to you all let me free
of all your expectations,

I wanna get lost in the crowd,
I dont wanna be what u want me to be

I want to be myself, happy admiring those bright stars
I want to make a new start please let me….

I don't want to be there anymore, amongst those stars
I don't want to get noticed, I wan't to be myself,

whose deeds affect me and only me
each time I hurt you,  falling short of your expectations,

it hurts me too, it shatters me too,
I don't belong to here,

let me be rooted to my earth
don't keep me on the skies of ur expectations,

don't keep me in ur hearts
I don't have enough left in me.

I wan't to make a fresh new start…
this time I’ll draw margins around my heart,

beyond which I won't let anyone enter,
because I too have a heart that hurts
tears fall from my eyes too.


why should only I care?
why do only I have to explain

and each time it comes to me
why evrything is but understood..

you made me count the number of times I hurt you
what about the endless nights I haven't sleapt?

what about the moments I felt all alone?
what about the moments my heart pained

what about the endless seconds.. my eyes kept waiting.
what about the moments I wanted to cry? wanted to shout?

but didn't just because it may not hurt any of you
did you even once think that somthing can hurt me too

did you try to understand me?
I always valued your tears, 

I tried never to let you cry.

but did you even realize, what could make me cry?
I will shout today, I will cry, I will laugh like mad.

you want to go away, go leave me alone…
you all do what you want, I never stopped you

and you never stopped either
then why would I stop anyone today.

my heart is no longer ready to give you the authority
to rule over it

you may be my love, my sister, my brother…
try to be only a friend now

stop expecting from me
I have learnt to expect now

I want to be me again.
I am tired of seeing myself from your eyes,

I am tired carrying this burden,
I want to say what I want to

I want to express the way I want
I want to breathe freely
I want to live once againI want to make a new start.

this world of glory is not meant for me,
this brightness is blinding me,

too much of noise is killing me
I want to go back to my silence.

let me get lost into the crowd,
let me be amongst those many

dont try to find a jewel in me
I am an ordinary stone, 

who is very happy with what he is.

let me free, let me make a new start,
let me fly with my own wings
to that endless sky...!!

zakhm lakho hi dil mein chupaye hue hain

log kahte hain zamana bada bewafa hai,
hum to apno se hi tang aaye hue hain,

kaho kaise zamane ko ilzaam de,
jab ki apne sitam hum pe dhaye hue hain,

jinko kahte the apne.. hue gair woh,
yahi khamosh sadma uthae hue hain,

zulm sahte rahe.. uff muh se na ki,
zakhm lakho hi dil mein chupaye hue hain,

aaj apno se hai gair bahetar hue,
jo ki palko pe hum ko bithaye hue hain,

ek apne hain jinpe hum ko naaz tha,
wahi raho mein kaate bichaye hue hain,

koi apna nahin kisko apna kahein,
hum ne apne sabhi aazmaye hue hain,

ab to jeene ki koi bhi chahat nahin,
shama umeed ki hum bujhaye hue hain,

saya apno ka koi na ho jis jagah,
aisi basti ko hum basaye hue hain.

my pride is like a castle in the sand

my pride is like a castle in the sand,
washed away by hope and need and pain.

you left me holding someone else’s hand,
and now you stand alone in midnight rain.

I want you back again if you want me,
I am ready to rebuild what we have lost,

as the owner of a dream swept out to sea
builds back upon the beach despite the cost.

my love for you is stronger than the waves,
stronger than the doubts that we may share,

if you will say the word that my heart craves,
I’ll find some flowered field and take you there.

and time will sweep this interlude away,
it will barely be a memory someday.

maa tujhse yeh duniya meri

mere wazood ki kahani woh, mere ser pe jiska saya hai,
maa tujhse yeh duniya meri, tujhse hi jeewan paya hai.

har ehsaas tujhse hi jana maine iss jahan mein aake,
hai karzdaar uska yeh beta, dhood jo tune pilaaya hai.

pehla lafz tu bani mere jeewan ka khuda ke karam se,
pakad mere hathon ko mujhe sambhalna shikaya hai.

mere ek chink pe tardapna tera, kitni raat tu soyi nahi,
khud ko jala dopehar bhar, har dhoop se bachaya hai.


hoon aaj main apne kadmon pe, jahan ko paar kar ke,
hoon par tere kadmon mein, jisse har seekh ko paya hai.


teri mamta ka pyasa hoon, luta de mujhpe pyar aapna,
poojta hoon tujhe aise ki bhagwan ki jagah biithaya hai.

hai dua upar wale se gar woh iss jahan mein kahin hai,
rakhe sada khush usse, jisne mujhe duniya mein laya hai.

mere wazood ki kahani, woh mere ser pe jiska saya hai,

maa tujhse yeh duniya meri, tujhse hi jeewan paya hai. 

hum roz jeene ke naye bahaane dhoondte hain

khandharon mein guzare hue zamaane dhoondte hain,
hum roz jeene ke naye bahaane dhoondte hain,

chhuti uski kalai aur humne botal thaam li,
aa jaata hai hosh jahan.. maikhane dhoondte hain,

kuch bataane se pehle hi ho jaate hain khaak,
woh kya hai jo shama mein parwaane dhoondte hain,

ghar tha chhota magar dil mein jagah kaafi thi,
woh chhote dil waale.. unche gharaane dhoondte hain,

tujhe jalakar bhi unko chain nahi aaya raaj,
ab raakh mein jaane kaunse khazaane dhoondte hain.

kuch waadon ka bojh dhote dhote

kuch waadon ka bojh dhote dhote,
khushiyan meri khatm ho gayi,
khwahishein to baaki rahi par
duniya meri khatm ho gayi.

yaadon ka daaman chhota nahi kabhi,
ashkon ki shiyahi kahtm ho gayi,
chala tha jis par woh raah manzil se
pehle hi.. raahi kahtm ho gayi.

rona aaya iss dil e naakam par jiski
dhardkane saari kahtm ho gayi,
kuch tannha raatein baaki thi,
woh bhi baari baari kahtm ho gayi. 

watch as this tear falls into empty space

watch as this tear falls into empty space,
see it fall into life’s nameless place.

can you see the sparkle as it catches the light,
that sparkle once was happiness, that is no longer in sight.

as it falls watch it, its color has changed
from blue to bright red, it has a wide range.

a shudder, a scream, darkness envelops your soul
the darkness of the night, has taken its toll.

har seene mein zakham koi gehra dikhai deta hai

yeh shehar ek bejaan sa sehra dikhai deta hai,
murda dilon par dhardkanon ka pehra dikhai deta hai,

aankhon se chalakta hai khoon paani ki jageh,
har seene mein zakham koi gehra dikhai deta hai,

har shaksh dhoondhta hai khoi manzil ke nishaan,
raahon mein pada gardish ka kohra dikhai deta hai,

kya shikwa karein gairon ki bewafai ka hum,
begana yahan har apne ka chehra dikhai deta hai. 

aye kaash.. main bhi ek shaayar hota

kehta hai yeh dil... 
aye kaash main bhi ek shaayar hota,

shayari ke bal par mere paas
har ek zakhm ka marhum hota,

ho jaata reha har dukh se
har pal dil araam mein hota,

aur keh deta jo kehna hai
phir marne ka ghum na hota,

kehta hai yeh dil..
aye kaash.. main bhi ek shaayar hota.

sab kuch mila mujhe ek din khone ke liye

zindagi hai meri jaise kuch hone ke liye,
sab kuch mila mujhe jaise phir khone ke liye,

apni tamaam tamannaao ko daba diya dil mein,
phir bhi ek arzoo bekaraar raha pura hone ke liye,

tujhe paa kar jeene ki zindagi ko arzoo huyi,
tu gayi hai to bas zindagi rah gayi rone ke liye,

nahi kar sakta ab apne dil se teri yaadon ko saaf,
tu hi bata kaun aayega ab iss dil mein samane ke liye,

ab to iss dil ki bechaini-o-bekaraari ka haal kuch aisa hai,
jaise dil ko mila ho sukoon besukoon hone ke liye,

tere intezaar mein yaar jaaga hoon kitni raaton se,
ab to yeh aankhein taras gayi ek pal ko bhi sone ke liye,

tu aayi iss zindagani mein aur chup chaap chali gayi,
jaise hum ne paya ho tujh ko ek din khone ke liye.

aye dil-e-nadan, tu ek din yeh bhi samjh jaayega

jheel mein hota hai bas behta paani,
har koi ismein beh jaayega.

duniya ke rang hain kitne, tu kab samjh paayega,
jheel ka behta hua paani mein, sab kuch sama jaayega,

woh pal jiska intezaar hai, woh bhi aayega,
magar afsoos.. pani ki tarha nikal jaayega,

insaan ki zindagi mein khushi to ek din aayega,
suraj hai pyaasa bahot, sab pe jaayega,

jheel ki khubsurti dekh kar, har kisi ka dil machlega,
dhokhebazo ki duniya mein, har koi naya rang dikhlayega,

anshoon ki jheel bethe rahti hai yaha,
isse koi nahi chhutkara paayega,

dard badega mere dost.. bohat badega,
magar fitrat insaan ka, ye
h sab seh jaayega,

phir shaam ki wahi manzer, phir wahi tannhai,
sahil ke kinare yeh nishan chord jaayega,

pani ki leharon se yeh sab kuch mit jaayega,
tu ek bar phir mere dost.. khushi ki geet gaayega,

agar mil gayi phir gham-e-tanhai mere uss dost ko,
har jeewan apna yuh ro ro ke naya dariya bahayega,

ek bar phir waqt guzar jaayega, yaadein chord jaayega,
sahil ke iss kinaare, woh akela rah jaayega,

paane se jada, khone se hoti hai kadar,
aye dil-e-nadan, tu ek din yeh bhi samjh jaayega.

jeewan ke iss safar mein, kaun haara hai kaun jeeta,
yehi soch kar woh leharon ke shoor se mar jaayega,

insaan soch ka mohtaj hai, sochta reh jaayega,
sahil par ghar banayega to lehar ke sath mit jaayega,

dukh ke iss rang se insaan miti mein mil jaayega,
phool chard kar shardhanjali dega, phir turant bhool jaayega,

subah mein dariya ke chamkte taaron se bhi hasseen hai zindagi,
par maslah hai yeh paani taza hai bohat, sab kuch nikal jaayega. 

All Time's Favourite Posts