I would never forget

precious are the times which we shared
but why in return you never cared?

I cared so much for you
that in caring I became insane,

was there anything missing in it
that you always gave me pain?

I would never forget..
I always wished for your happiness,

if circumstances could be converted,
why then thinking day and night of you
left me just hurted?

how you left me
you can never guess,

being in this world today
everywhere I have loneliness,

before that, these times were beautiful,
full of happiness and no regret!

but then you tought me a lesson
I would never forget!

jee rahe hai aise jaise koi tamnnna hi nahi hai

dil ke zakhmon ko abhi seeya nahi hai,
dard shayad bhada hai par itna nahi hai,

unhone chord diya haath par humein gila koi nahi hai,
shayad yeh thi kimsat humari, dil kehta hai woh bewafa nahi hai,

roye ya hanse, jeeye ya mare, ab hum sochte hain,
jee rahe hai aise jaise koi tamnnna hi nahi hai.

bas muskrate jaaye

bas muskrate jaaye jeewan ki pyari rah mein,
dil ko lagate jaaiye jeewan ki pyari rah mein,

hai zindagi choti magar ghum ke fasane hain bade,
har ghum bhulate jaiye jeewan ki pyari raah mein,

mousam ho mohabbat ka, har taraf bahar ho,
teer ho nigahon ka, dil nishana yaar ho,

pyar ki barsaat mein bhige sabhi ke dil yahan,
dil se dil mil jaaye sabke, har taraf bas pyar ho,

tardap uthe armaan sabhi, jo dil ne dil ko yaad kiya,
ho gaye yeh aankhein nam, jo dil ne fariyaad kiya,

aye khuda rakhana salaamat,  jo the kabhi dil mein mere,
tord ke ek pal mein jisne, dil ko mere barbad kiya.

meri pyaari behna

seep ke moti, gale ki mala si hai.. meri pyaari behna,
baba ki pari, maa ka gehna.. meri pyaari behna.

ghar ke har koona khusbu se mehkati.. meri pyaari behna,
hum sab ka saaransh hai.. meri pyaari behna.

ghungru si khanakti, panchi si chhehakti.. meri pyaari behna,
sang mein kheli-kudi badi huyi hai.. meri pyaari behna.

thaa pata ek din mujhe bahut rulayegi.. meri pyaari behna,
par khushi hai do pariwaron ko ek sath roshan kar rahi.. meri pyaari behna.

tu sada hasti muskaati rahe... meri pyaari behna,
ishwar se bas yehi kehna hai... meri pyaari behna.

Happy Bhai-Dooj... Kabita & Babita.

jab bhi kabhi achaanak dil dhadakne lage

jab bhi kabhi achaanak dil dhadakne lage,
meri khusboo tumhare honthon par mehakne lage,

dil khud ba khud koi geet gungunane lage,
labon pe muskaan bikharne lage,

jab kabhi saanoson mein ek ajab thandhak mehsoos hone lage,
baat dil ki jubaan paer aaker bayan karne lage,

chandani raat mein dil machalne lage,
to samajh lena maine tumhein yaad kiya. 

aisa aur kaun hai jaisi meri maa hai

dhup mein chaaya jaise, pyas mein dariya jaise,
tann mein jeevan jaise, mann mein darpan jaise,

haath duwaon wale roshan kare ujjale,
phool pe jaise shabnam, saas mein jaise sargam,

prem ki moorat, daya ki surat,
aisi aur kaha hai, jaisi meri maa hai..!

jab bhi andhera chaa jaaye, woh deepak ban jaaye,
jab ek akeli raat sataye, woh sapna bann jaaye,
ander neer bahaye par bahar se muskaaye,

kaaya woh paawan si, mathura vrindawan jaisi,
jiske darsan mein ho bhagwan,
aisi aur kaha jaisi meri maa hai..!


Happy Birthday Maa

ab bas ki ab aur nahi

ab bas ki ab aur nahi,
subah shaam yahi kashmakash chalti rahi,
tumhaari tasveer kayi baar nigaahon mein
aa aa ke pighalti rahi,

kitni hi baar waada kiya khudse,
kitni hi baar koshishein bikharti rahi,
doori bhi naa bana saka tujhse aur
nazdikiyon ki khwaaish bhi nikalti rahi,

aisa nahi aadtan tujhse judi,
yeh taareekh bhi bhula di maine,
jaane kyon, par kayi baar yeh ungliyaan
tumhare number pe aa aakar fisalti rahi. 

kitna acha waqt tha jo kitne jaldi beet gaya

kitna pyara dil tha mera,
dard mein kaise bheeg gaya,

hansta har dum rehta tha jo
rote rote bheeg gaya,

khusion se daman jhatak ke
kam ka matlab seek gaya,

kaise meri haar huyi kab
kaise koi jeet gaya,

kitna acha waqt tha jo
kitne jaldi beet gaya.

ek aam aadmi..

ek aam aadmi..
khaamosh se in raahon mein bhatakta,
iss bhare se aasmaan mein apnaa,
astitva dhoond paane ko tarasta, 

ek aam aadmi..
do joon roti aur ek chhat ke khaatir,
in tez raftaar se bhaagti sadkon par,
zindagi se bhi dheemi chalti bason par,
roz bhagwaan bharoose latakta,

ek aam aadmi..
apne lehraate kheton ko dekh kar muskurata,
apni chhoti-chhoti khushiyon ki khaatir,
chhote-chhote se sapne sajata aur
unke poora na ho paane se ghabrata,

ek aam aadmi..
shehron ki chakachoundh se door,
uoonchi-uoonchi meenaaron se bharpoor,
motaron ki hord se anjaan,
apne chhote se ghar pey rang-rogan lagata,

ek aam aadmi..
sard kohre mein ghar se nikalkar,
apne maveshiyon ko chaara jutata,
seena cheerti thand se lardta,
apne kheton mein paseena bahata,

ek aam aadmi..
apni naakaamiyon ka maatam manata,
roz chulhe ke khaatir lakdiyaan jutata,
internet aur globalisation ke iss daur mein bhi,
pichhili sadi se bhi pichhla nazar aata.

asli karmveer

jhulasti dhup mein aksar
woh nanhe masiha nazar aa jaate hain,
jinke pairon ko zakhmon ki aadat hai,
woh apne dard ko nazar-andaaz kar jaate hain.

unki kameezon par pure batan nahi hote,
phir bhi shaan se ithlaate hain,
kabhi caron ke sheeshe chamkaate,
to kabhi jute polish karte nazar aa jaate hain.

woh kisi doud mein shaamil nahi,
unhein koi mukaam bhi nahi bhata,
woh us sukhi roti mein bhi khush hain,
jiska ek tukda bhi humaare,
gale se neeche nahi jaata.

unki baaton mein badi saralta hai,
woh chikni chupdi baatein nahi banatein hain,
har din naya sagharsh hai unke liye,
woh apne aur apnon ke khaatir,
khun paseene ki tareh bahaate hain.

hum sirf mohobbat ke dard se lardte hain par,
yeh roz jaane kitne dardon se lard jaate hain,
jaane jamaane ki nazaron mein kya hain woh,
mujhe to woh sab asli karmveer nazar aate hain.

ho sakta hai kuch haasil na ho tere intezaar se

woh parinda apni choti si umr se
achhi uddan bhar leta tha,

nadi pahard to choti baat thi
woh saagar tak paar kar leta tha,

aksar apni chhamtaon ko dekhkar
woh foola nahi samata tha,

aatmvishwas abhimaan ban-ne laga tha uska,
ab woh jameen par panw na rakh paata tha,

yoon to aksar nazar aata tha woh,
ek roz chaand usse bha gaya,

chahat sirf nigaahon tak naa rahi,
uska dil chaand par aa gaya,

apni naadaan chaahat ke chalte
woh apne paroon par,
kuch jada hi vishwas karne laga,

chaand ki doori se anjaan,
woh apni udaan bharne laga,

ek umr urdne ke baad uski,
ummeed ne dum tord diya,

iraade to majboot the uske,
par uske paroon ne saath chord diya,

apni iss naakaami ke chalte,
usne paroon ko fadfadana chord diya,

girne laga waapas zameen par,
aur jeene ka khayal chord diya,

shayad uske naseeb mein
dard aur bhi paana tha,

mar naa saka iske baad bhi
woh jaan gaya tha ab usse,
dobaara naa urd paana tha,

aaj bhi takta hai chaand ko
woh ussi se nazrein bachakar,

phir moond leta hai palkon ko
shaayad apne aap pe sharma kar,

har raat ke baad ujli subah ho
yeh jaroori to nahi,

ghtaaien bhi chha sakti hai,
ho sakta hai kuch haasil na ho tere intezaar se,
par zindaagi ka koi waada bhi nahi aye dost..
mout kisi waqt bhi aa sakti hai.

zindagi apne aap jeene ke raaste dikha rahi hai

zindagi apne aap jeene ke
raaste dikha rahi hai,
kalpnaaon ki kalayi mein hakiqat
aaj saaf nazar aa rahi hai.

kuch baatein jo paheli thi
humaari kachi umron mein,
aaj khud apne aap ko
khol kar dikha rahi hai.

maana aashmaan ko chuti thi
us umr mein khwaishein apni,
par accha hi hai zindagi humko
zameen par rehna sikha rahi hai.

waise alag hi mazaa hai
khuli aankhon se jeene ka,
manzilein bahut door sahi
par saaf nazar aa rahi hai. 

iss dard aur tanhaai se mera rishta bahut puraana tha

iss dard aur tanhaai se to mera
rishta bahut puraana tha,
par teri berukhi ne mujhko
kahin gehare tak hila diya,

main aksar sochta aye dil
ki bada hausla hai mujhme,
teri meherbani se tufaan kuch aisa utha,
meri saari dariya-dili tak urda diya,

tujhse milne ki tamaam koshishein,
mere ghumon ko aur bardhati rahi,
main til-til tardapta raha yunhi,
aur aahista-aahista tu door jaati rahi,

khone laga kahi mera vishwash bhii,
jo mujhe auron se juda banata tha,
barbaad ho hi gaya teri mohobbat mein,
jo kabhi apne aap par itraata tha.

bas ek adna sa intezaar hai

shukriya aye dil gar yahi inaam hai mohobbat ka,
hum isko bhi muskuraa kar liye jaayenge,
kuch din to guzar gaye tumhaari aarzoo ke chalte,
aur kuch tumhaare intzaar mein guzar 
jaayenge, 

kaun kehta hai ki sangdil ho gaye ho tum?
kaun kehta hai ki tangdil ho gaye ho tum?
hum to jab bhi tumhaare dar pe pahunche..
aksar woh bhi paaya jiski ummeed naa thi kie 
jaayenge, 

mukkaddar jaane kaun kehta hain ki woh khuda likhta hai,
meri kismat to har baar tum hi likhte rahe,
jab bhi socha ke naseeb shaayad abke badal 
jaayenge, 

kuch lamhein tumhaare.. abtak mere paas rakhe hain,
main ussi mord pe thehraa hoon iss ummeed se ki shaayad..
woh waqt palat ke aaye ya naa aaye,
tumhaare kadam tumhein waapas le hi 
aayenge, 

bas ek adna sa intezaar hai,
abto saans lene aur jeene ke darmiyaan,
dekhein ab baaki ki zindagi hum saans lekar ya jeekar bitaayenge.

tum tannha hi reh gaye

woh shehar bhi chhord gaya
jo kabhi apna sa lagta tha,

un apnon se naata tut gaya
jinse bichadna ek sapna lagta tha,

main hairaan tha fitrat-e-insaan se
sab ke sab ek saanche mein dhal gaye,

chehre to sabhi jaane pehchaane the
phir achanak kaise badal gaye,

kuch khas to naa kamaaya tha
siway mohobbat ke lekin,

meri iss kamaai ke chehre se
mohobbat kaa hi rang utar gaya,

phiki muskrahaton mein chipe
woh chehre hi baaki reh gaye,

nasamjhi mein jinhein shayad 
hum mere apne keh gaye,

afsos teri naakami par chaand
chaandni  bhi teri naa ho saki,

inn sitaroon ki bheed mein bhi
tum tannha hi reh gaye. 

yeh to apni apni adda hai

baat woh hi nahi karte,
kehna to humein bhi aata hai, 
yeh to apni apni adda hai,
koi keh deta hai koi chup reh jaata hai. 

perhaps I’ll find you again someday

I happened upon your memory today, 
I try to forget, but in my mind you stay.
heartbreaking it was that we said goodbye,
it was for the best, 
I can’t lie. 


I know that you loved me, I even felt it too,
but 
I still couldn’t bring myself to loving you.
this chapter of my life just isn’t over yet,
still, you are a part of me that 
I can’t forget.

you’re still my solace on those lonely nights.
you still keep me warm, and hold me tight. 

I hear your laughter, I can see your smile.
you are the only one that soothes me,
no matter the miles.

so, if it’s true things happen in mysterious ways,
then perhaps 
I’ll find you again someday. 

I wanna hold you, and look into your eyes,
as we share our first kiss,
and our last kiss goodbye.

for now, 
I hope your “promise” is lying next to you,
loving you completely, the way 
I couldn’t do.
and 
I hope your heart’s as filled as it could ever be,
but please, could you save a little spot for me. 

aye geet mere.. kisiko udaas mat karna

geet mere kisi ko udaas mat karna,
kisi ke nain saagar mein neer mat bharna,

dukh apna le mann ke shishe mein jad kar,
muskurana sikh le tu khushi se bichad kar, 

peeda ki chaap adhar dawaar par mat dharna, 
aye geet mere.. kisi ko udaas mat karna.

kanth maun hoga.. yeh sawar maun honge,
ek deewas jab mere adhar maun honge,
patjhad mein phoolon sa yun mat bikharna, 

aye geet mere.. kisi ko udaas mat karna.

sangam hriday ka.. hriday se karane,
dwesh aandhiyon mein.. prem deepak jalane,
marne se tu sau baar mat darna,
aye geet mere.. kisi ko udaas mat karna.

wafa bhi kijiye.. magar tannha tannha

main tannha, mera dil tannha,
mere ghazal, mere geet tannha,

meri soch tannha, mere jazbaat tannha,
mere har din aur raat tannha,

dhalte hain lafz mere ghazlon mein,
jab main likhoon, mere ehsas tannha,

har roz hoti hai meri mulakaat unse,
hote hain mere neend mein khawab tannha,

apna mohabbat mujhe lagta hai kareeb,
jab main hota hoon, sirf tannha tannha,

soch to yeh hai iss bewafa jahan mein raaj,
wafa bhi kijiye.. magar tannha tannha.

zindagi ne humein kisi ka na hone diya

zindagi ne humein kisi ka na hone diya,
kabhi unhone kabhi zamaane ne rok liya,
ab to issi umeeed par sirf jeete hain hum,
kabhi to iss tanhaai se ubhrenge hum.

kanton se darta raha dil par phoolon se bhi chot khaya

kabhi pyar ne kabhi nafrat ne hardam mujhe aajmaya,
kanton se darta raha dil par phoolon se bhi chot khaya,

dushmano ka shikwa kya kiya jaaye iss zindagi mein,
doston ke mehfil mein hi yeh aksar aanshoon bahaya,

sikha tha isne hardam sirf pyar hi karna,
nafraton ki bhird mein aksar yeh rashta banaya,

num aankhon se muskarana kitna mushkil hota hai,
ab tak yeh dard bewafa jahan samajh na paya,

ghumon se dosti karo “raaj“ gujar jayegi yeh zindagi,
inn aankhon ko koi haseen khawab raas na aaya.

tu yaad aati rahi.. tujhe bhulaane ke baad bhi

dil se mita na sake ek zamaane ke baad bhi,
tu yaad aati rahi.. tujhe bhulaane ke baad bhi,

tere sath tujh mein magan tha tamaam waqt,
tujh mein khoya raha.. tere jaane ke baad bhi,

sab kuch apna loota-te rahe teri chaahat mein,
zinda hain.. tujh pe yeh dil lutaane ke baad bhi,

samandar-e-tannhai mein dooba hi rah gaya main,
pyaar mein tum se dil lagaane ke baad bhi,

tum phir bhi ajnabi ho mohabbat ke waste,
iss tarah raah-e-rashm bardhaane ke baad bhi.

kadam-kadam nishan dhundhta raha

kadam-kadam nishan dhundhta raha,
main ek naya hi jahaan dhundhta raha,

bahut se kafile mile the raah mein, 

jaise main apne karwan dhundhta raha,

chand ke mohabbat mein main chot khakar,
iss dharti par main aasman dhundhta raha,

ajeeb shaks hoon main khushi ka ek pal bhi,
ghamon ke mehfil ke darmiyan dhundhta raha,

mujhe bayan kar raha tha koi shaks kabhi,
lakh dastanon mein main khud ko dhundhta raha.

inn zakhmon pe namak laga kar dekh bahut maja aayega

zindagi se pyar ko bhula kar dekh, bahut maza aayega,
dil se dil ka sauda kar ke dekh, bahut maza aayega,

payr kya hai.. sirf dillon ka sauda, 
iss saude ko tord kar dekh, bahut maza aayega.

zindagi hai ek jua.. khel kar dekh, bahut maza aayega,
tu bhi kisi ka dil tord kar dekh, bahut maza aayega,

hassin kehati hai sari duniya jisse, 
usse tukdon mein la kar dekh, bahut maza aayega.
mohabbat ko kafan pehna kar dekh, bahut maza aayega.

sari duniya ko joot bana kar dekh, bahut maza aayega,
toote dil ke saaj ko baja kar dekh, bahut maza aayega.

zakham hi zakham hain tere naseeb mein raaj,
inn zakhmon pe namak laga kar dekh, bahut maja aayega.

tannha-tannha hi zindagi mein kuch pane ki koshish karte hain

aankhon ke aanshoon ke sath muskarane ki koshish karte hain,
ghumon mein doob kar khud ko behlane ki koshish karte hain,

dukhon ke sath-sath chalte hue iss zindagi ki raah mein,
har waqt, har pal khushi ke geet gane ki koshish karte hain,

zindagi dubi hai meri nakamiyon ke andhere mein,
tannha lardte hue halat se, deep jalane ki koshish karte hain,

koi sath nahi deta, tannhai hi mukaddar ban gayi,
tannha-tannha hi zindagi mein kuch pane ki koshish karte hain.

yeh bhi beet jayega

ghum ke badal se bheegi palke..
yeh bhi beet jayega,
sunehre sukh mein khushiyan chalke..
yeh bhi beet jayega.

samay ke saath mausam bhi badalta hai,
suraj ke saath din bhi dhalta hai,
patjhad ke baad phool bhi khilta hai,
saawan ke baad badal bhi dhalke..
yeh bhi beet jayega.

sone ke mahal, heeron ke haar,
khushiyon ka aangan, dhan ki bauchaar,
motiyon ka maala, ratno ka shringaar,
reshmi parde, farsh makhmal ke,
yeh bhi beet jayega.

dard ki chingari se jalta hriday,
daridra ki bhukh, mrutyu ka bhay,
peeda ke pal, dukh bhara samay,
pahaad sa bhaari mann, aansu kuch halke.. 

yeh bhi beet jayega.

koi zakham ab chhubhta nahi

koi zakham ab chhubhta nahi,
dil hai pathar ki kuch sunnta nahi,

tannhai ka sath pasand aata hai humein,
ki koi dost humein apna lagta nahi,

ghum bhi kaha apna raha ab,
inn ankhon mein woh dikhta nahi,

kanch ke tukdon mein dekhun to
koi aks apna sa lagta nahi,

lekar baithein hain ek tasveer aisi
jisme koi saaya dikhta hi nahi,

meri tanhaiyon par hasne walon,
yeh janaza hai mere armano ka,
koi tamasha nahi.

reh kar phoolon ke aas pass inn kanton se rishta rakhte hain

reh kar phoolon ke aas pass
inn kanton se rishta rakhte hain,
inn jhuthi muskrahton ke peeche
ashkon ke sailab chupa ke rakhte hain.

na dekh le koi mere beete huye lamhein,
har lamhein ko is duniya ki
nazron se bacha kar rakhte hain.

kahi bhool na jaaye teri yaadon ko isleye,
har zakhm ko nasur bana kar rakhte hain.

mumkin kaha kisi ke jazbat ko samjh pana,
isliye har jazba iss juban mein daba kar rakhte hain.

hota yeh mumkin kaise

hume to kisi ka sahara na tha, 
door khadi thi kashti par koi kinara na tha, 

humne to chaha tha saath humesa chalna, 
par waqt ko hi saath humara gwara na tha, 

kuch kadam ke fasle the
kuch meelon ke duriyan thi,
kaun aata yahan jab kisi ko aana hi na tha. 

sitare bhi zamin par aa jaate hain,
jab kisi ke dil mein chahat hoti hai,
sikwa kya karein kisi se,  
 jab kisine kuch chaha hi na tha.  

mit jaati dooriya,
mit jaate fasle bhi,  
agar hoti khwahish dil mein,
par hota yeh mumkin kaise,  
jab kisi ko dooriyan mitana hi na tha.

ruke huye kadam phir chalne lagte,
bhool jaate woh yaadein bhi, 
par hota yeh mumkin kaise, 
jab kisi ko woh yaadein bhoolana hi na tha.

humne dosti ke liye apne duhsman chune hain

chord kar saath phoolon ka humne kante chune hain,
bhool kar khushiyan humne ghumon ke tarane chune hain,

bheed se ho kar juda humne tannha safar chune hain,
din ke ujjale jab chubhane lage tab inn raton ke saaye chune hain,

jee rahe hain jinake sahare humne un yaadon ke fasane chune hain,
duniya jise deti hai deewangi ka naam, humne har kadam aise sapne chune hain,

har lamha khud ki talash mein, hum duniya se door ho chale hain,
shikwa kare to bhi kare kiss se, humne hi dosti ke liye duhsman chune hain. 

chalte rehna hai yunhi waqt ne yahi bataya hai

chalte rehna hai yunhi,
waqt ne yahi bataya hai, 
jee lijiye har pal ko hanste hanste,
har mord par yahi smajhaya hai.

mana ki tut jaate hain
ret ke mahal bar bar,
khud ko behalne ko humne, 

phir ek mahal banaya hai.

chahata to bahut kuch yeh insaan,
par sab kuch hasil kaha kar paya hai,
phir bhi jo gir gir utta baar baar, 
wahi toh yaha jee paya hai.

jisne pee liye hain aanshu apne,
wahi iss hansi ki keemat jaan paya hai,
ghum utaya ho iss zamane mein wahi
iss duniya ko jeet paya hai.

bas intezar hai yahan

kisko dhundhe hain aankhein meri
bas tanhahiya hai yahan,
dikhte hain chehare nahi
bas parchahiyan hai 
yahan, 

door tak na koi shor hai
bas sannate hain faile hue,
na koi lamha hai na koi pal hai
bas intezar hai 
yahan. 

din ke ujjale mein dekhun jo
nazar aati hai kuch tasveerin 
yahan, 
kuch to hai magar phir bhi
rehati hai khamoshiyan 
yahan.

haste huye chehare to hain
par udasiyan hai 
yahan, 
waqt gujarta jata hai har pal
phir bhi thehra hua sa hai yeh shama.

aankhon mein sapne zinda
dil mein yaadein jawan,
poochte hain khud yeh humse
aa gaye yeh hum kahan?

gir ke phir sambhal ke yeh kya maine kiya

gir ke phir sambhal ke yeh kya maine kiya,
ab puchho na tum kyun aisa maine kiya,

laane ko mushkuraahat hothon pe unke,
katal bhi phoolon ka maine kiya,

dil ne chaaha aabad woh hamensha rahe,
unke naam saari khushion ko maine kiya,

afsoos raha na milega koi hum sa unhein,
hadd se jaada pyaar to maine kiya,

naa mili manzil magar dikha di raah unhein,
yeh jeevan mera safal to maeine kiya. 

tab nahi tha kuch kehne ko ab sehna mushkil lagta hai

tab nahi tha kuch kehne ko,  
ab sehna mushkil lagta hai, 
aanshoon palkon pe therey hai, 
girna mushkil lagta hai, 

kitni bojhil lagti sansey, 
kitni dharkan murda hain,
jeeney ki majboori ho jab, 
merna mushkil lagta hai.

jo dekha murd kar to jana ki yeh to weham mera hai

na yeh shehar tera hai,
na yeh shehar mera hai,
ajanbi si deewaron mein,
charo taraf se ghera hai,

har kadam par koi aahat, 
har kadam par koi awaaz,
jo dekha murd kar to jana, 
ki yeh to weham mera hai.

waqt to gujar jata hai par yaadein nahi jaate

jaha kabhi khilte the phool chahton ke,
aaj waha yaadon ke cactus ugge hain,

jaha kabhi aate the baharein chalkar,
waha aaj hawaon ke rukh murde huye hain,

waqt ne badale the zamaane kayi,
jinhein bhulane mein gujare the zamaane kayi,

par dard ke fasane bhoole kaha jaate hain,
waqt gujar jata hai par yaadein kaha jaate hain?

woh to bankar cactus, zindagi ki paheli se jued jaate hain,
cactus bhale hi kanton se bhare hote hain,
phir bhi auro ki tarha sans to lete hain,
bankar cactus yaadein iss mann mein sama jate hain. 

rakhkar kahi khushi apni jaane kyun hum bhool gaye

rakhkar kahi khushi apni,  jaane kyun hum bhool gaye,
abhi to sab kuch yaad tha, phir kaise kaha bhool gaye,

ek draz se dusre draz tak sab jagah dhundha usko,
dekha jo ek draz khol kar to kuch kisse purane ubhar gaye,

ke parde huye the band kar usse dekha jo
dusra draz to kuch armaan bikhare parde the,
hum the na-samjh, parayon se bhi kyun ummeed ki?

kaid sanson ke beech main zinda hoon

meri khamoshi se samjhte hain log
ki main ek murda hoon,
kaise bataun ki
kaid sanson ke beech main zinda hoon, 

kafir samjhte hain woh mujhe, 
jhoothe rivazon se baparda hoon,
meri parwah ko kehate hain aawargi, 
woh kya jaane ki main ek parinda hoon,

inn khoyi khoyi mehfilon mein
sabse juda har lamha.. main tannha 
hoon, 
na ho kar bhi iss duniya mein,
kisi ki yaadon mein har lamha zinda hoon.

lamhein jo beet jaate hain

lamhein jo beet jaate hain
woh sapne se ho jaate hain,

yaad aate hain rah rah kar
yaadon ki dhundh mein woh kahi kho jaate hain,

baatien jo muskrane ka sabab deti thi,
bas woh aanshuon ki wajah ban jati hai,

lamhein jinko kaid karne ki khwahish hoti thi,
bankar ret woh inn hathon se fisal jaate hain.

yeh bata de mujhe zindagi

yeh bata de mujhe zindagi..
pyaar ki raah ke humasafar,
kis tarah ban gaye ajanabi?


yeh bata de mujhe zindagi..
phool kyun saare murjha gaye,
kis liye bujh gayi chaandani?

yeh bata de mujhe zindagi..
kal jo baahon mein thi
aur nigaahon mein thi,
ab woh garmi kahaan kho gayi?

na woh andaaz hai, na woh aawaz hai,
ab woh narmi kahaan kho gayi?

yeh bata de mujhe zindagi..
bewafaa tum nahi, bewafaa hum nahi,
phir woh jazbaat kyon so gaye?

pyaar tum ko bhi hai, pyaar hum ko bhi hai,
faasale phir yeh kyon ho gaye?

yeh bata de mujhe zindagi..!!

mere paas se guzar kar mera haal tak na puccha

mere paas se guzar kar 
mera haal tak na puccha,

mere paas se guzar kar 
mera haal tak na puccha,

main yeh kaise maan loon 

woh door ja ke roye.

ek yeh din hai aur ek woh din tha

mujh ko yakin hai sach kehati thi, jo bhi maa kehati thi,
jab mere bachapan ke din the, chand mein pariyan rehati thi,

ek yeh din jab apno ne bhi humase rishta tord liya,
ek woh din jab perd ki shakhein bojh humara sehati thi,

ek 
yeh din jab lakhon ghum aur kaal parda hai anshuu ka,
ek 
woh din jab ek zara si baat pe nadiyaan behati thi,

ek 
yeh din jab saari sadkein ruuthi ruuthi lagti hain,
ek 
woh din jab ‘aao khelein’ saari galiyan kehati thi,

ek 
yeh din jab jaagi raatein, deewaron ko takkti hain,
ek 
woh din jab shakhon ki bhi palakein bojhal rehati thi,

ek 
yeh din jab zehan mein saari tension ki baatein hain,
ek 
woh din jab dil mein saari bholi baatein rehati thi,

ek 
yeh ghar jis ghar mein mera saz-o-samaan rehata hai,
ek 
woh ghar tha  jis mein meri budhi naani rehati thi.

dheere dheere jeeti duniya, dheere dheere haare logg

dukh ke jungle mein phirate
hain kab se maare maare logg,
jo hota hai seh lete hain,
kaise hain bechaare logg.

jeevan jeevan hum ne jag mein
khel yahi hote dekha,
dheere dheere jeeti duniya,
dheere dheere haare logg.

sangat dene ko paate hain
saanson ke ek-taare logg,

iss nagari mein kyon milati
hai roti sapanon ke badale,
jinki nagari hai woh jaane
hum toh haare banjaare logg.

All Time's Favourite Posts