zindagi ki raaho par iss kadar hum lardkhadaye hain

zindagi ki raaho par iss kadar hum lardkhadaye hain,
apno se hi hum har waqt kiye gaye praaye hain.

darte-darte rakhe the kadam humne mohabbat ki rasto par,
dil lagane ki khata ki tab hi to yeh sazza paaye hai.

tarasti huyi meri rooh ko kabhi pyaar ki chhav na mili,
mohabbat ki nahi aaj mujh par ghumo ke saaye hain.

phir bhi kambhakhat yeh dil umeed nahi chhordta hai,
iss nadani ki wajah se hi hum har waqt thokare khaye hain.

shayad hi kabhi kisi pal tujhe humara khayal aaya hoga,
magar hum to teri yaadon ke saaye mein hi har pal beetaye hain.

teri bewafai mein bhi “raaj” ko teri wafa nazar aati hai,
tujhe paa lene ki hasrat ab tak dil mein basaye hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts