insaan kyon lalach ke sagar mein behta ja raha hai.

aye malik.. aye khuda,
insaan kyon lalach ke sagar mein
behta jaa raha hai.
chhord kar kyon desh apna,
saat samander paar jaa raha hai.

chhord kar apno ko peeche,
doosron ka pyaar dhoondta hai.
chand ko chune ki tamanna mein
jadein apni bhoolta jaa raha hai.

maanta hoon..
badlna dastoor hai zindagi ka,
magar iss khudgarz duniya mein
khoon ka rang bhi badalta jaa raha hai.

kaun kerta hai vishwash kisi pe koi phele jaisa,
kaun kerta hai pyaar kisisi se koi phele jaisa,
ab to aapne faiyede ke liye
insaan rishte bana raha hai,
unhi rishton mein, ulajh raha hai.

aye malik.. aye khuda,
insaan kyon aajkal,
dikhawat ki duniya mein
chalta jaa raha hai.

koi sambandh nahi hai aapas mein,
koi vishwass, pyaar nahi hai,
phir bhi rishton ki kadi mein,
har roz koi naa koi naam
jordta jaa raha hai.
matlab pura hone par,
in rishton ko tordta jaa raha hai.

aye malik.. aye khuda,
insaan kyon,
lalach ke sagar mein,
behta ja raha hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts