main itna khushnaseeb nahi to kya hua

raat mein chaand nahi to kya hua,
raah mein gulshan nahi to kya hua,
tannhai ke aadi ho chuke hain hum,
safar mein humsafar nahi to kya hua.

aur bhi gham hain ek tannhai nahi,
mushkile anek hain ek ruswai nahi,
pyar ki daulat milti nahi sabko yahan,
main itna khushnaseeb nahi to kya hua.

koi shikva nahi hai naseeb se,
bahare kai guzri hai kareeb se,
par hum registhan ke phool hai shaayad,
sawan jo barsa nahi to kya hua.

mera saaya salamat, gham nahi hai mujhe,
aakelepan ka maatam nahi hai mujhe,
apne aansho khud pee lete hoon ab,
koi pochne wala nahi to kya hua.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts