phir kissi mord par hum milen shayad

phir kissi mord par hum milen shayad,
thodi door saath phir chalein shayad,
pathjhard mein bahaar sa shamaa ho,
sehra mein phool phir khilein shayad,
phir kissi mord par hum milen shayad.


humne safaai to badi siddat se di,
phir bhi reh jaayen kuch gile shayad,
soyi huyi hasratein phir se jaag utthein,
shamma umeedon ki phir jale shayad, 

phir kissi mord par hum milen shayad.

sadiyon ki tardap phir aah bann kar nikle,
khaamoshi ke tut jaayein sil-sile shayad,
dooriyaan jinnko raas nahi aati hain,
nikle unhi rishton mein faansle shayad,
phir kissi mord par hum milen shayad.

iss umeed par laash ko nihaarte hain,
phir kabhi jism yeh hille shayad,
ranjishen door ho ek duje ke darmiyan,
bichrde lag jaayein phir gale shayad,

phir kissi mord par hum milen shayad.

karva dikhe kahi aur basera kar len,
dil se hasraton ke kaafile shayad,

phir kissi mord par hum milen shayad,
phir kissi mord par hum milen shayad.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts