chota hi sahi magar ek ghar aisa bhi hai

jahaan mausam nahi badalte,
jahaan par dil nahi jalte,
tuta futa hi sahi,
magar ek ghar aisa bhi hai.

jahaan pe phool hain khilte,
jahaan dhokhe nahi milte,
mere dil ka hi sahi,
magar ek nagar aisa bhi hai.

sab ki raahein hain titar-bitar,
jism bas bojh se hai tar,
ruh ki pyaas kyun bujhe,
pyaar mein bhi mila zahar,
magar ek aashiyaana hai,
jahaan par raaz hain khulte.

jahaan par jism hain dhulte,
thoda chota hi sahi,
magar ek shahar aisa bhi hai,
mere dil ka hi sahi,
magar ek nagar aisa bhi hai.

jahaan par dard hain pighalte,
gire huye phir se sambhalte,
tuta futa hi sahi,
magar ek ghar aisa bhi hai,
mere dil ka hi sahi,
magar ek nagar aisa bhi hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts