kya mil gaya aur main kya chaahta tha

mera dard mujhse mazaa chaahta tha,
main tannha rahun yeh khud chaahta tha,

woh rahe dil mein mere hamesha hamesha,
kuch aise woh hona juda chaahta tha.

makaano mein main kabhi reh na paaya,
hadd se jada mujhe raasta chaahta tha,

mohabbat jo ki to umar bhar nibhaaya,
main apne gunaah ki sazaa chaahta tha.

hai sach dawakhane mein zahar maine maanga,
main dardon ki apne dawaa chaahta tha.

woh kabhi bhi mujhe yaad karte nahi the,
waise woh mujh ko bada chaahte the,

rissta raha khun mera jigar se,
mera zakhm thoda hawa chaahta tha.

jeene ki mujhko dua de gaya jo
shayad woh mera bura chaahta tha,

ishq mujhse mila tha yateemon ko,
besahara tha woh aasraa chaahta tha,

teri bewafaai ne mujhe maar daala,
kya mil gaya aur main kya chaahta tha.

saude mein dil ke wafaa kar raha tha,
saude mein dil ke wafaa chaahta tha,

mujhe maalum tha ki woh mera nahi hai,
main phir kyun usse dekhna chaahta tha.

woh samajh hi na paaye zubaan meri,
bin kahe main unko rokna chaahta tha.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts