pehchaan apni dhundta ek insaan

ek emaarat par khada khoobsurat ek chaand,
tim-timate shehar mein pehchaan apni dhuundta ek insaan,

bhagti is duniya mein roshni khud ki dhuundta ek chaand,
masrufiyat ki duniya mein khamoshi khud ki dhuundta ek insaan,

anekon taron mein kuch khojta ek chaand,
tut-te taron mein duayein uski yaad karta ek insaan,

jagmagate sitaron ki duniya mein tannha ek chaand,
aahista chalti purvayi mein chandni apni khojta ek insaan,

vrikshon ki do panktiyoon ke madhya khada ek chaand,
akaash ki uchayion mein khoye zamin dhuundta ek insaan,

badlon ke upar chalte vimanoon par parchayi chhord ek chaand,
juda dilon ki yadein aaj taza karta ek chaand,

do masaum nighaon se chaandni apni dhuundta ek chaand,
hathon se fisalti zindagi ke kuch lamhein samet-ta ek insaan,

zamin aur asmaan ki uchaayi nappta ek chaand,
zamin se door ek emaarat par khada tannha ek insaan.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts