main sare dard -e- dil sambhal kar rakhta hoon

main jab bhi dil mein kuch thaan ke rakhta hoon,
umeed kam hai bahut maan kar rakhta hoon !

kisi ke pyaar ki tohin na ho jaye kahin,
main sare dard -e- dil sambhal kar rakhta hoon !

na jaane kaun tere khwaabon ki tabeer bane,
main apna aks bhi nikhar kar rakhta hoon !

tere huzur main kuchh kahne ki manjoori nahi,
juban aankhon mein hi dhal kar rakhta hoon !

har ek shaks teri aur hi kyun takkta hai,
jab saari baatein main bayaan kar rakhta hoon !

na kar de maut teri yaadon se mahroom mujhe,
main apni jaan ko sambhaal kar rakhta hoon !

kahi na khul jaye yeh raaz-e-ashiqi mera,
main apne dil pe bhi lagam laga ke rakhta hoon !

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts