muskrate jaiye jeewan ki rah mein

bas muskrate jaiye jeewan ki pyari rah mein,
dil ko lagate jaaiye jeewan ki pyari rah mein.

hai zindagi choti magar ghum ke fasane hain bade,
har ghum bhulate jaiye jeewan ki pyari raah mein.

mousam ho mohabbt ka.. har taraf bahar ho,
teer ho nigahoon ka.. dil nishana yaar ho.

pyar ki barsaat mein bhige sabhi ke dil yahan,
dil se dil mil jaye sabke har taraf bas pyar ho.

tardap uthe armaan sabhi, jo dil ne dil ko yaad kiya,
ho gayi yeh aankhein nam, jo dil ne fariyaad diya.

aye khuda rakhana salaamat jo the kabhi dil mein mere,
tord ke ek pal mein jisne dil ko mere barbad kiya. 

pehchaan apni dhundta ek insaan

ek emaarat par khada khoobsurat ek chaand,
tim-timate shehar mein pehchaan apni dhuundta ek insaan,

bhagti is duniya mein roshni khud ki dhuundta ek chaand,
masrufiyat ki duniya mein khamoshi khud ki dhuundta ek insaan,

anekon taron mein kuch khojta ek chaand,
tut-te taron mein duayein uski yaad karta ek insaan,

jagmagate sitaron ki duniya mein tannha ek chaand,
aahista chalti purvayi mein chandni apni khojta ek insaan,

vrikshon ki do panktiyoon ke madhya khada ek chaand,
akaash ki uchayion mein khoye zamin dhuundta ek insaan,

badlon ke upar chalte vimanoon par parchayi chhord ek chaand,
juda dilon ki yadein aaj taza karta ek chaand,

do masaum nighaon se chaandni apni dhuundta ek chaand,
hathon se fisalti zindagi ke kuch lamhein samet-ta ek insaan,

zamin aur asmaan ki uchaayi nappta ek chaand,
zamin se door ek emaarat par khada tannha ek insaan.

human heart

human heart 
fresh as nature
pure as rain,

grows slowly
with sorrow and pain.

life accelerates
with ample breaks,

heart once pure and plain
stumbling now
with distress-disdain.

life becomes hell of hollow,
heart singing a song of sorrow.

but the rule of life is to live,
we learn to live
from sorrow and grief.

rising from dismal
to turn life’s new leaf,
because the falling step
leads to the rising belief.

life may have fallen 
on hearth and heath,
but we still can try it to heave.

duniya se door ek nayi duniya basayi humne

khud jaag kar chaand ki bhi neendein udayi humne,
lagta hai jaise ek umra bitayi humne.

raat ka humsafar 

humraz ban ke puchhe har sham,
wahi kahani jo har kisi se aajtak chhupayi humne.

khud ke khwabon ki khaq ko khud mein hi samete,
duniya se door ek nayi duniya basayi humne.

sawalon mein uljhi zindagi se ek sawal mera bhi,
yeh zindagi kis gunah ki saza mein payi humne,
lagta hai jaise ek umr bitayi humne..!! 

aisa anokha jeevan jeeta hoon main

chaar din dikhaawe ki hasi aur
ek din khub rota hoon main,

chaar din josh mein hota hoon phir
ek din tut jaata hoon main.

tumhein bhoolne ka dhong phir
ek din khud yaad karta hoon main.

chaar din dikhaawe ki hasi aur
ek din khub ruta hoon main,
aisa anokha sa jeevan

aksar hi jeeta hoon main. 

yeh sapne hain

in sapnon ki udaan to dekho
chhute hain yeh jahaan ko,
panchi bhi jahaan pahunch naa paaye
paate hain us mukaam ko.

in sapno ka kya kehna
yeh hai man ke rang-tarang ki chaaya,
khayalon ke moti chun-chun kar
banti hai khawabon ki maala.

aasha aur ummeed par dekho
in sapnon ke prakash jale hain,
manushya ke maanas ko dekho
kaise yeh ujjwal karte hain.

yeh sapne hain
vayu se chanchal,
jahaan chale urd jaate hain,
puri duniya apni kar lenge
pank yun yeh failatein hain. 

jo waqt kho diya usse jaane do

jo waqt kho diya usse tum jaane do,
jo waqt abhi baki hain usse tum jee lo,

jo lamha ashqon mein kho diya usse tum jaane do,
jo lamha kushi ka pal de gaya usse tum jee lo,

jo pathjhad pattey jhulsa gaya usse tum jaane do,
jo basant naye phool de gaya usse tum jee lo,

jo aandhi chale gayi usse tum jaane do,
jo barish mitti ki khushbu de gayi usse tum jee lo,

jo andhera ashaon ki kirne le gaya usse tum jaane do,
jo pal ashaon ka sawera de gaya usse tum jee lo,

jo jeevan vyarth kiya usse tum jaane do,
jo jeevan ko arth diya woh lamha jee lo,

jo duniya ne liya usse tum jaane do,
jo duniya ko tumne kuch diya woh lamha jee lo,

jo pal kho diya usse tum jaane do,
jo pal kushi ka jiya woh pal jee lo.

why we find much to regret least to celebrate

why we see the life
more as a bane
less as a boon.
more as a problem
less as a solution.

why we find
other’s life a tic-tac-toe
and our life a monster’s toe.

why we think
most precious thing
more as a problem.

why we think
life is a hell
and heaven a distant trail.
why we find much to regret
least to celebrate.
more of sadness
least of happiness.

more occasion to curse
least to thanks.
much of scortching heat
less of soothing air.

just change the view
life’s perview,

you will find more of spring
less of scortching summer,
more of rains, less of flood
more a boon, less a bane.

kehta hai dil chal raaj kahi aur chal

pathron se bante nahi ashiyaan pyaron,
dilon ki kaise yeh bastiyaan pyaron,

hasil nahi aag ke iss dariya se kuch bhi,
dariya-e-ishq mein dubey kitni kashtiyaan pyaron,

woh mera nahi phir kyun apni si lagti hai,
tufanon mein girti hain aksar bijliyaan pyaron,

raaj dhuunde mukaam zindagi ka,
mili har dil mein bas tanhaiyaan pyaron,

afsana nahi baki koi sunane ko yahan,
banti mit-ti yahan kitni zindgiyaan pyaron,

jhuut mein pisti kitni kahaniyaan yahan,
har taraf dikhti hai bas baimaniyaan pyaron,

kehta hai dil chal raaj kahi aur chal,
dil ko nahi bhati abb tasaliyaan pyaron.

door kahi rahte ho

door kahi rehte ho kahi,
dil mein mere baste kyun nahi,

dard mein dube rehte ho kahi,
khwabon mein mere baste kyun nahi,

door kahi rehte ho kahi,
char diware kehte hai yahi,

chal udd jayein dil ke sath kahi,
faasley yeh kam hote hi nahi,

faasley kyon kam hote hi nahi,
duur kahi rehte ho kahi,

dil mein meray baste kyon nahi,
chahat dil ki bantey hi nahi,

dard mein doobey rehte ho kahi,
dil mein meray baste kyon nahi,

jaan naa paye tujhko hum kabhi,
jaan patey to rok latey tughko hum yahi,

duur kahi waqt ke sath chaltey ho kahi,
meray sath chaltey hi nahi,

jo chalogey hamare sath tum agar,
chhod aingey naa tera sath hum kabhi,

door kahi rehte ho kahi,
dil mein meray baste kyon nahi. 

tannhai ki yahi kahaani hai

tannhai woh oss ki bund hai,
jo taru ke pushp-pattiyon par
ek moti ki bund si achi lagti hai.

par jab pattiyan unmein doob jaaye
to ashru si lagti hai.

tannhai woh andhere ki aas hai,
jo khud ka ehsaas karati hai.
jab vyathit man gatha sunaye
to chup kar sunti jaati hai.

tannhai woh aawaaz hai,
jo bin kahe sab kuch keh jati hai.
tanhaayi woh laaw hai..
jo kabhi jalti hai, kabhi jalaati hai.

kabhi aanhsu hai, kabhi paani hai,
kabhi sathi hai, kabhi veeraan hi hai,
tanhayi saade panno ki kahaani hai.

tannhai woh taar hai tarano ki
jinse dhun bhi aati hai,
par in tarangon ke path par
rehti rawaani hai.

kabhi aanshu hai, kabhi paani hai,
tannhai ki yahi kahaani hai. 

kal jispe naaz tha kyun be-emaan ho gaya

aagaz abhi hua bhi na tha ke anjam ho gaya,
rahe wafa pe chalke main nakam ho gaya.

achha hua jo ishq mein badnaam ho gaya,
koi janta na tha shehar mein, ab naam ho gaya.

ab sochta hoon main ki kahan bhool ho gayi?
kyunki mera jeena bhi ab haraam ho gaya.

pahle tha apne dil pe ikhtiyaar likin ab,
kambakht namurraad be-lagam ho gaya.

tujhse mila tha to haath mein ek phul tha mere,
tujhse bichhard ke haath mein ek jaam ho gaya.

khamosh nigaho mein bas ek soch hai baki,
kal jispe naaz tha kyun be-emaan ho gaya.

karni thi bahot baatein, bahot si shikaytein,
jo woh aaye samne to ek dua-salam ho jaye. 

tum bhi oron jaise hi nikle

rishton ko shak ke saaye mein simat-te dekha hai,
apno ko gairo ki bheed mein chalte dekha hai,

humko nahi gila ke tum bhi oron jaise hi nikle,
humne apne ghar ko pahle bhi jalte dekha hai.

tumne ashko ki surat mein lava behte dekh liya,
humne barson tak seene mein dard sulagte dekha hai.

tum kya baat karoge humse insaano ke bikne ki,
saste daamo mein humne bhagwaan ko bikte dekha hai.

ishq mein aanshun chaar baha kar tum dukh kya hai jaan gaye?
bhukhe bachhon ko tumne kya bilakhte kabhi dekha hai?

main sare dard -e- dil sambhal kar rakhta hoon

main jab bhi dil mein kuch thaan ke rakhta hoon,
umeed kam hai bahut maan kar rakhta hoon !

kisi ke pyaar ki tohin na ho jaye kahin,
main sare dard -e- dil sambhal kar rakhta hoon !

na jaane kaun tere khwaabon ki tabeer bane,
main apna aks bhi nikhar kar rakhta hoon !

tere huzur main kuchh kahne ki manjoori nahi,
juban aankhon mein hi dhal kar rakhta hoon !

har ek shaks teri aur hi kyun takkta hai,
jab saari baatein main bayaan kar rakhta hoon !

na kar de maut teri yaadon se mahroom mujhe,
main apni jaan ko sambhaal kar rakhta hoon !

kahi na khul jaye yeh raaz-e-ashiqi mera,
main apne dil pe bhi lagam laga ke rakhta hoon !

kabhi koi hamare bhi apne the

woh pal mere apne the,
jab meri aankhon mein kisi ke sapne the.

aaj hum akele tannha hain,
kabhi koi hamare bhi apne the.

chhup-chhup ke har roz ka milna,
ek duje ko kehna hal-aye-dil apna.

milkar zindagi ke sapne bunana,
lagta hai beeti shaam huyi.

wo pal guzare the
par beet gaya hain woh zamana bohat pehle.

aaj hum akele tannha hain,
kabhi koi hamare bhi apne the.

sar rakh ke uska baahon mein sona,
khelna uski zulfo se.. baatein karna,

dekh kar hamare milan ko
chand sitaare bhi jalte the.

duniya ke ranj-o-gum se door ho jate the,
aaj hamari baahein sooni hain,

aaj hum akele tanha hain,
kabhi koi hamare bhi apne the.

woh pal mere apne the,
jab meri aankhon mein kisi ke sapne the,

aaj hum akele tannha hain,
kabhi koi hamare bhi apne the.

har mehfil meri tannha hai

door tak naa koi apnna hai,
oas ki tarah dhundhla hua mera har sapnna hai.

nazar jaha tak bhi jaati hai meri,
ajnabiyo se bhari yeh duniya hai.

har mehfil meri tannha hai,
meri aur mere ghum ki duniya hai.

sarrd raatein hain aur tim-timate taare hain,
hum bhi khudd mein hi simat se jaate hain.

mere khwaabo mein saaye ki tarah chale aate hain,
kuch pal theharte hain aur chale jaate hain.

oas ki dhundhlahat mein phirr kahi kho jaate hain,
kuch pal hum bhi bebas ho jaate hain.

kuch aanshoo bahate hain,
aur hum bhi us oas mein kahi gum ho jaate hain…. !

zindagi ki raaho par iss kadar hum lardkhadaye hain

zindagi ki raaho par iss kadar hum lardkhadaye hain,
apno se hi hum har waqt kiye gaye praaye hain.

darte-darte rakhe the kadam humne mohabbat ki rasto par,
dil lagane ki khata ki tab hi to yeh sazza paaye hai.

tarasti huyi meri rooh ko kabhi pyaar ki chhav na mili,
mohabbat ki nahi aaj mujh par ghumo ke saaye hain.

phir bhi kambhakhat yeh dil umeed nahi chhordta hai,
iss nadani ki wajah se hi hum har waqt thokare khaye hain.

shayad hi kabhi kisi pal tujhe humara khayal aaya hoga,
magar hum to teri yaadon ke saaye mein hi har pal beetaye hain.

teri bewafai mein bhi “raaj” ko teri wafa nazar aati hai,
tujhe paa lene ki hasrat ab tak dil mein basaye hai.

ek adhure se rishte ko maine jeeya hai

ek adhure se rishte ko phir maine jeeya hai,
ashko ke khare samundar ko maine peeya hai.

humne to jeeya tha badi siddat se yeh rishtaa,
zindaagi tu hi bata ab yeh kya tune kiya hai.

jinko bhulana mushkil hai ab muat se pahle,
unko bhulaane ka iradaa ab humne kiya hai.

hum to chale the unke hi humsafar banke,
beech rashte mein usne manzil ko tay kiya hai.

dil se bhool jaana tum yeh adhooraa saa rishtaa,
adhoore se ristoin ke saath bhala kuan jeeya hai,

katraa katraa bikharne laga jab wazood mera,
badi mushkil se dost.. humne isko siyaa hai.

na jaane ab woh khawab kaha hai

rimjhim rimjhim barsti ghataye,
mere man mein ek pyas uthaati hai,

tere na pass hone ki
humein bohat yaad dilati hai.

jo waqt tere sath beeta tha
ek hassen khawab ki tarah gujraa tha,

na jaane ab woh khawab kaha hai,
meri neendein, meri woh raat kaha hai.

gunjati hain jiski gunj aaj tak mere kaano mein,
pehle jasi khushiya kaha rahi ab mere aashiyane mein.

why do I try

scars remain with pain inside,
my heart holds hurt that I cannot hide,

bruised and broken, torn and tattered,
a world I once knew, has been shattered.

I reach out to you and you push me away.
I try to explain it, but you laugh it away.

so what more can I say?
what more can I do?

nothing will ever be good enough for you.
so why do I try?

kya mil gaya aur main kya chaahta tha

mera dard mujhse mazaa chaahta tha,
main tannha rahun yeh khud chaahta tha,

woh rahe dil mein mere hamesha hamesha,
kuch aise woh hona juda chaahta tha.

makaano mein main kabhi reh na paaya,
hadd se jada mujhe raasta chaahta tha,

mohabbat jo ki to umar bhar nibhaaya,
main apne gunaah ki sazaa chaahta tha.

hai sach dawakhane mein zahar maine maanga,
main dardon ki apne dawaa chaahta tha.

woh kabhi bhi mujhe yaad karte nahi the,
waise woh mujh ko bada chaahte the,

rissta raha khun mera jigar se,
mera zakhm thoda hawa chaahta tha.

jeene ki mujhko dua de gaya jo
shayad woh mera bura chaahta tha,

ishq mujhse mila tha yateemon ko,
besahara tha woh aasraa chaahta tha,

teri bewafaai ne mujhe maar daala,
kya mil gaya aur main kya chaahta tha.

saude mein dil ke wafaa kar raha tha,
saude mein dil ke wafaa chaahta tha,

mujhe maalum tha ki woh mera nahi hai,
main phir kyun usse dekhna chaahta tha.

woh samajh hi na paaye zubaan meri,
bin kahe main unko rokna chaahta tha.

chota hi sahi magar ek ghar aisa bhi hai

jahaan mausam nahi badalte,
jahaan par dil nahi jalte,
tuta futa hi sahi,
magar ek ghar aisa bhi hai.

jahaan pe phool hain khilte,
jahaan dhokhe nahi milte,
mere dil ka hi sahi,
magar ek nagar aisa bhi hai.

sab ki raahein hain titar-bitar,
jism bas bojh se hai tar,
ruh ki pyaas kyun bujhe,
pyaar mein bhi mila zahar,
magar ek aashiyaana hai,
jahaan par raaz hain khulte.

jahaan par jism hain dhulte,
thoda chota hi sahi,
magar ek shahar aisa bhi hai,
mere dil ka hi sahi,
magar ek nagar aisa bhi hai.

jahaan par dard hain pighalte,
gire huye phir se sambhalte,
tuta futa hi sahi,
magar ek ghar aisa bhi hai,
mere dil ka hi sahi,
magar ek nagar aisa bhi hai.

phir kissi mord par hum milen shayad

phir kissi mord par hum milen shayad,
thodi door saath phir chalein shayad,
pathjhard mein bahaar sa shamaa ho,
sehra mein phool phir khilein shayad,
phir kissi mord par hum milen shayad.


humne safaai to badi siddat se di,
phir bhi reh jaayen kuch gile shayad,
soyi huyi hasratein phir se jaag utthein,
shamma umeedon ki phir jale shayad, 

phir kissi mord par hum milen shayad.

sadiyon ki tardap phir aah bann kar nikle,
khaamoshi ke tut jaayein sil-sile shayad,
dooriyaan jinnko raas nahi aati hain,
nikle unhi rishton mein faansle shayad,
phir kissi mord par hum milen shayad.

iss umeed par laash ko nihaarte hain,
phir kabhi jism yeh hille shayad,
ranjishen door ho ek duje ke darmiyan,
bichrde lag jaayein phir gale shayad,

phir kissi mord par hum milen shayad.

karva dikhe kahi aur basera kar len,
dil se hasraton ke kaafile shayad,

phir kissi mord par hum milen shayad,
phir kissi mord par hum milen shayad.

yeh kalyug ka insaan hai

sab kuch jaan kar, na jaane kyu anjaan hai,
sab kuch hai magar naa jaane kyu baimaan hai,

jisme swarth na ho, uska kerta yeh apmaan hai,
yeh aur koi nahi, kalyug ka insaan hai.. 

insaan kyon lalach ke sagar mein behta ja raha hai.

aye malik.. aye khuda,
insaan kyon lalach ke sagar mein
behta jaa raha hai.
chhord kar kyon desh apna,
saat samander paar jaa raha hai.

chhord kar apno ko peeche,
doosron ka pyaar dhoondta hai.
chand ko chune ki tamanna mein
jadein apni bhoolta jaa raha hai.

maanta hoon..
badlna dastoor hai zindagi ka,
magar iss khudgarz duniya mein
khoon ka rang bhi badalta jaa raha hai.

kaun kerta hai vishwash kisi pe koi phele jaisa,
kaun kerta hai pyaar kisisi se koi phele jaisa,
ab to aapne faiyede ke liye
insaan rishte bana raha hai,
unhi rishton mein, ulajh raha hai.

aye malik.. aye khuda,
insaan kyon aajkal,
dikhawat ki duniya mein
chalta jaa raha hai.

koi sambandh nahi hai aapas mein,
koi vishwass, pyaar nahi hai,
phir bhi rishton ki kadi mein,
har roz koi naa koi naam
jordta jaa raha hai.
matlab pura hone par,
in rishton ko tordta jaa raha hai.

aye malik.. aye khuda,
insaan kyon,
lalach ke sagar mein,
behta ja raha hai.

aye zindagi hum bhi tera bojh utha lenge

tere diye har dard ko palkon par utha lenge,
aye zindagi hum bhi tera bojh utha lenge,

sirf aanshu hi mile ab tak iss jahaan mein,
dhundhte rah gaye kismat apni aasman mein,
jab bharega paimana to thoda chalka lenge,

aye zindagi hum bhi tera bojh utha lenge. 

anshun bhare aankhon se muskana padega,
dil ke armanon ko zinda jalana padega,
aanshuon ko apni aankhon mein chuppa lenge,

aye zindagi hum bhi tera bojh utha lenge.

iss jahan mein kisi shakhs ka sahara na milega,
in aankhon ko bahaar ka nazara na milega,
khud ro kar bhi dusron ko hansa lenge,
aye zindagi hum bhi tera bojh utha lenge.

aankhon mein le ker khawab hum chaldiye

aankhon mein le ker khawab ko,
hum chaldiye.

aasman ko banakar seema,
hum chhoone chand ko hain chaldiye.

dil mein liye tammana,
aur poore josh mein,
hum musibton se takrane chaldiye,

un saare taaron ko,
daaman mein chupane,
hum chaldiye.

honsla hai, vishwaas hai,
mil jayegi manzil humein.
aye bhagwan, tera naam leker,

manzil tak ka yeh safar, tay kerne,
dekho hum chaldiye.

leker tera naam aye bhagwaan,
mushkilon ke saath hum lardte chale,

aapne ander thi jo chupi buraayion ko,
essi takrav mein, peeche chordker,
manzil ki taraf, phir se chaldiye.

aankhon mein le ker khawab ko,
hum chaldiye.

tannha-tannha hi zindagi mein kuch pane ki koshish karte hain

aankhon ke aanshoon ke sath muskarane ki koshish karte hain,
ghamon mein doob kar khud ko behlane ki koshish karte hain,

dukhon ke sath-sath chalte hue iss zindagi ki raah mein,
har-waqt har-pal khushi ke geet gane ki koshish karte hain,

zindagi dubi hai meri nakamiyon ke andhere mein,
tannha lardte hue halat se deep jalane ki koshish karte hain,

koi sath nahi deta tannhai hi mukaddar ban gaya “raaj“,
tannha-tannha hi zindagi mein kuch pane ki koshish karte hain.

hothon pe muskan sajaaye baitha hoon

zindagi ko bas yun hi guzar baitha hoon,
ha har khushi se aaj anjaan baitha hoon.

har dar se lauta hoon aaj na umeed hokar,
ki har rishte ko aaj pehchan baitha hoon.

aankh yun to meri bhi num hai aaj yahan.
phir bhi hothon pe muskan sajaaye baitha hoon.

yun mehfilo mein meri barbadi ka sabab mat puchho,
kayi apno ke naam dil mein chhupaaye baitha hoon.

main itna khushnaseeb nahi to kya hua

raat mein chaand nahi to kya hua,
raah mein gulshan nahi to kya hua,
tannhai ke aadi ho chuke hain hum,
safar mein humsafar nahi to kya hua.

aur bhi gham hain ek tannhai nahi,
mushkile anek hain ek ruswai nahi,
pyar ki daulat milti nahi sabko yahan,
main itna khushnaseeb nahi to kya hua.

koi shikva nahi hai naseeb se,
bahare kai guzri hai kareeb se,
par hum registhan ke phool hai shaayad,
sawan jo barsa nahi to kya hua.

mera saaya salamat, gham nahi hai mujhe,
aakelepan ka maatam nahi hai mujhe,
apne aansho khud pee lete hoon ab,
koi pochne wala nahi to kya hua.

khushiyon mein simte hain gham

yeh aanshoo in aankhon se 
nikal kar bah kyon nahi jate?
jo beet chuke hain pal 
woh gujar kyon nahi jate?

kyon har saans mein 
mahak jati hai khusbu uski?
kyon har jikr mein 
nikal aati hai baat uski?

kyon uski yaad mein 
ho jati hai aankhein nam?
kyon lagta hai, 
khushiyon mein simte hain gham?

rahta hoon khoya sa,  
sochta hoon hardam,
door raho chahe jitna,  
yeh pyar na hoga kam.

rahega sada tera intezaar justzoo bankar,
tu rahegi sada is dil mein dhadkan bankar.  

tera mera milan... akhari akhari

raat ke kaandhon par sanjh siskane lagi,
dubati hai kiran... akhari akhari,

yaad aane laga, phir tadrpane laga,
tera mera milan... akhari akhari.

kal ke sapno ko jab hum dhundhane chale,
chupke se dil ne kaha tum kahan chal parde,

ab woh manjar kahan, woh bahare kahan,
mit gaye hain nishan... akhari akhari.

ek muddat se thi dil mein teri yaad,
ek sarhad tak teri chhahat rahi,

kuchh na puchhe koi, ab to aalam hai yeh,
mit gayi hai lagan... akhari-akhari.

yaad aane laga phir tardpane laga,
tera mera milan... akhari akhari.

I miss you my friend

I reach for the stars and 
I can’t see the friend 
who ones stood besides me, 

I look and look 
but can’t see what 
went wrong in our friendship,  
perhaps I never will. 

today I am here thinking,
where’s my friend?  
oh, how lonely I feel. 

my friend was special in his own way,  
he gave me comfort,
help me when all failed. 

where’s my friend? my soul cries out,
what did I do wrong,  
did I push him away? 

I seek for answers and I find none,
why did I loose my friend? 
perhaps I will never know. 

without you my friend I feel lost,  
lost in a world so cruel to us all. 

all I can see is the wonderful times we shared,
when you held me in your arms, 

istening to my living hell.

so my dear where ever you are,
remember the good times we shared, 

let the past be the past,
for all I have learn today as I sit down and write,
that the answers to my questions are all in one, 

"I miss you my friend".

All Time's Favourite Posts