ab hum bas zakhmo ko seete hain

unki hi ek adda thi yeh, jisne iss dil ko dhardkaya,
woh ruth gaye jis pal mujhse, har pal ne dil ko tardpaya.

unke liye bas ek khel tha yeh, har kali magar jhukne si lagi,
woh kya ruthe ek pal mujhse, bas sans meri rukne si lagi.

koi jakar unse yeh kahe, koi jakar yeh batlaye,
unke dum se hi meri duniya thi, koi unko yeh samjhaye.

unse hi humne hassna seekha, unse hi to dil mein rangat tha,
unse hi hai jana pyar hai kya, kya wafa huyi kya ulfat hai.

agar tanha hi rakhna tha hamein, kyu iss dil mein yun aas bhari,
kyu sapne saare dikhlaye, kyu kar di duniya hari bhari.

ab tanhai hai, ashq bhi hai, hum bas zakhmo ko seete hai,
woh aayenge iss aas mein hi, hum saansein lete jeete hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts