in sard andheri raaton mein

in sard andheri raaton mein,
sab sardken jab sunsaan si hon,

sab apne ghar ko laut chuke,
kuch jaag rahe kuch so chuke,

kuch naram khwaabon mein kho chuke,
woh tannha apni soch mein gum,

un sarkon pe yun phirta hai,
kuch khoj mein shayad rehta hai,

woh neend se kosoon door talak,
bas chalta hai or chalte rahta hai,

jab thakta hai or girta hai,
tab yaad ke saare surkh zakham,

sapno ki soorat mein aate hain,
do aankhon ko dhundlate hain,

in sard andheri raaton mein,
tab yaad bohat tum aate ho,
tab yaad bohat tum aate ho.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts