kitne saal aaye aur gujar gaye

bhule bisre khawabo ko kuraidte rahe
tumhari yaad mein lamha dar lamha tardapte rahe,
ek ek din ko ungliyon ke poro mein ginte rahe,


kitna zalim tha yeh saal....
hamare bebasi pe woh hasste rahe,
gum tanhai mein hum sab se bichardte rahe.

yun hi raat aati rahi, yun hi din gujarte rahe,
ek muddat tak inn aankho se tum ko taraste rahe,
apni chahat ke paymane ko tum se bharte rahe...


kaano mein ek sada pari naya saal aagaya,
mujh ko aisa laga jaise mera yaar aagaya,

yun saalo ke aane se koi milta nahi,
takdir ka likha kabhi milta nahi,

tumhare baad kitne saal aaye aur gujar gaye,
intezaar karte karte hum ek umar mein dhal gaye,

maine har nayi saal se tumhara pata pucha,
ek lamba intezaar karwa kar woh bhi gujar gaye,

humko to har mousam jaisa lagta hai,
tumhare baad dil ka mousam veeran sa lagta hai,

dil ke abaad basti ujhard si gayi,
ab bhi tumhara aana bahar sa lagta hai,
har saal ke tarah yeh sal bhi,
gujar jayega apni yaadein de kar.

hum is tara manate rah gaye,
tumhare judaai ke saal,

ek bar laut kar to aa phir puchna humse,
kis tarah manate hain hum bewafai ka saal.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts