bahut tannha hoon main

kaash khawabon mein hi aa jaao bahut tannha hoon main,
ya mere zehan se yaadon ke diye bhuja jaao tum,

mere ehsaas ki duniya ko mitta do hamdam
raat taare nahi.. angaare liye aati hai,

in baraste huye sholon ko bujha do hamdam,
dil ki dhardkan ko sula jaao bahaut tannha hoon main,

andheri raat mein jab chaand khilne lagte hain,
tumhaare pyaar ke deepak jalaa ke rota hoon main,

tumhaare aane ki jab aas jaane lagi hai,
main in chiraaghon ko khud hi bujha ke rota hoon main,

zindagi aisi mitta jaao bahut tannha hoon main,
sochte sochte jab soch bhi mar jaati hai,

waqt ke kadmon ki aahat ko suna karta hoon main,
ashk thamte hain to aankhon mein dhuwa uthta hai,

raat bhar yunhi tarapta hoon, jala karta hoon main,
dard- e- gham kuch to ghatta jaao bahut tannha hoon main.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts