woh dard ki dukan, woh dard bechte hain

woh dard ki dukan,
woh dard bechte hain,
humko khushi se pyar,
hum unke dard khareedte hain.

woh aashuo se bhari aakhe,
woh har baat pe unka ro dena,
meri fitrat muskarana,
kyu hum bhi sath unke rote hain?

itna mehsoos kiya hai unke ehsaaso ko,
ke ab yeh aalam hai,
bewajah hum bhi tardap jate hain,
jab yaadein unki dard dete hain

unki tanhai bhi mujh mein utar aayi hai,
mehfilo mein rehkar bhi hum akayle rehte hain,
unki tarah main bhi bikhar gaya hoon shayed,
kuch na kuch mein unka ban gaya hoon shayed,

unko apni khushi mein shareek to na kar sake,
unke jaisa main bhi ban gaya hoon  shayed.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts