meri zindagi ka raaz woh

meri zindagi ki kitaab woh,
mere haar sawaal ka jawaab woh,

mein usse pardhuga tamam umar
mere khayaalon ka ehsaas woh,

meri haar duaa us ke liye,
meri ebadaaton ka sawaab woh,

mein sara din ussi mein magan,
meri haar raat ka khawaab woh,

likhun aur kya mein us ki yaad me,
mein likhon kya uske jaat per
meri zindagi ka raaz woh

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts