aaj hum ghar nahi makanoon mein rehte hain

aaj log ghar nahi, makanoon mein rehte hain,
chand armaan ujade viranoon mein rehte hain,


khawaab mein hota hai, bus unhi ka deedaar aur,
samajhte hain hum unke khayalon mein rehte hain,

koi to shukr-gujaar hoga iss bhram ka,
ki chalo, hum bhi zinda in jahanon mein rehte hain,

mandir chorda, chord gayi masjid ki woh galiyaan,
kuch insaan to ab-roz maikhano mein rehte hain,

koi tapish unhein na koi jalan hi mehsoos hoti hai,
jo log ubalte huye bulbulon mein rehte hain,

be-matlab jab hua, shaks jo tha kabhi dil ke kareeb,
us roz se hi  hum beganoon mein rehte hain,

aaj hum ghar nahi, makanoon mein rehte hain,
chand armaan ujarde viranoon mein rehte hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts