dil mera tujhe na samajh paya

aaj udaas hoon to zamana mujhe puchne aaya,
magar jis pe tha sadiyon ka bharam woh nahi aaya,

woh to ek khuwaab tha, toot gaya bikhar gaya hai,
aaj udaas lamhon mein phir kyun mujhe woh yaad aaya,

zindagi ki panno ke woh chand din jo guzar chuke hain,
na hi un pe sukkun aya, our na hi unko kabhi bhula paya,

bhoolna chahta hoon har lamha, 
har waqt jo guzar gaya hai,
jitna bhi roka woh waqt utna mere sath chala aya,

guzra hua kal na tha mera, na hai mera aur na hoga kabhi,
yeh mein janta hoon magar phir bhi na dil ko karaar aaya,

woh tere jhute waade, jhute kasmein, sab yaad hain mujhe,
phir bhi kabhi maine na apne dil ko samjha paaya,

aa na paye the tum to khudaar tha main bhi,
yeh rishta hi humare dermiyaan na raas aaya,

teri muskurahat mere liye ek fareb thi,
tha main kitna nadan, dil mera tujhe na samajh paya.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts