suna tha waqt marham hai, har zakhm bhoola deti hai,
har guzra lamha hum ko to, ek zakhm naya de jati hai,
raat ki raani hai yaa teri yaado ki khushbu,
kuch to hai jo dil ke aangan mein, ehsaas tera wo deti hai,
gar tere khayalon mein khoo kar neend aa bhi jaye,
aa ker khawabon mein, tera tasweer humko jaga deti hai,
khush hote hain tasweer mein tumhein kareeb dekh ker,
shayad kabhi mil na paye hum, ye haadsa sehma deti hai,
dil buhut nazuk hai, gum se ubharna aaye na,
pathar pe chott lage to woh bhi saza deta hai,
dushman hai zamaana mohabbat karne walo ko saza dete hai,
in dooriyon, judai ka ehsaas rula deta hai.

No comments:
Post a Comment