main aur meri tanhaayi

aawaara hain galiyon mein, main aur meri tanhaayi,
jaayein to kahan jaayein, har mord pe hai ruswayi,
main aur meri tanhaayi, main aur meri tanhaayi,

ye phool se chehre hain, hasste huye guldaste,
koi bhi nahi apna, begaane hain sab rashte,
rahe bhi tamashayi, raahein bhi tamashayi,
main aur meri tanhaayi, main aur meri tanhaayi,

armaan sulagate hain, seene mein chitta ho jaise,
kaatil nazar aate hain, duniya ke jail me  jaise,
rota hai mera dil, par bajti kahi hai shehnayi,
main aur meri tanhaayi, main aur meri tanhaayi

har rang mein ye duniya, sau rang dikhaati hai,
ro kar kabhi hassti hai, hasskar kabhi gaati hai,
ye pyaar ki baahein hain ya maut ki angdaayi,
main aur meri tanhaayi, main aur meri tanhaayi.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts