kaash ki kabhi aisa ho jaye

kaash ki kabhi aisa ho jaye,
aankhein band karu saamne tu aa jaaye,

pas aakar chupke se mere,
kanon mein tu kuch keh jaaye,

khil uthoon sunkar teri baatein,
aisa sapna tu mujhe dikhaaye,


bitha ke palkon ke saaye,
tujhe main saari duniya ghumaun,

tan mann ki meri baatein,
tu khud mujhe samjhaaye,


rahu harpal tere hi pehlu mein,
teri baahein mere gale ka haar ho jaaye,


bharu teri maang sitaron se yun,
mujhe tu apna dulha bulaaye,


kaash ki kabhi aisa ho jaaye,
aankhein band karu saamne tu aa jaaye.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts