kya main tumse koi ummeed rakhun

kya main tumse ummeed rakhon,
tum meri uljhan suljha sakogi?

pairon mein mere pardi hain zanjeerein,
unhein kaatne mein mera saath dogi?

suraj ne to mujhko maayus rakha,
roshni is taraf ka rukh kar na paya,

ghana andhera hai, main kho gaya hoon,
mujhe dhundne ki pehal kya karogi?

paaon ke neeche kanteeli zamin hai,
iss par chalne mein dushwaari hogi,

kya in raahon par kandha mila kar mere
humsafar ki tarah chal sakogi?

pareshaniyon mein aisa ghir chuka hoon
saaya bhi saath chord gaya hai,
kya tum mere sath rukogi?

ummeedon ke phool bahut naazuk hain,
hawa ke thappede kahi sah na paayein,

meri ummeedon ki salamati ki khatir,
mere saath kya tum bhi sajdaa karogi?

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts