maine apni ek alag hi duniya basa rakhi hai,
kuch nahi chahte hue bhi,
main bahut kuch pana chahta hoon,
khud ko tanhaiyo main sametkar,
har kisi ko kisi ka saath dilana chahta hoon,
chahe khud ko mitana pare,
par har kisi ko uska jahan dilana chahta hoon,
mere khwab shayad aasmaan se bhi barde hain,
par unhein pane ki chahat bhi shayad aasmaan se bhi bardi hai….
jisme rehne ka sapna main har pal dekhta hoon,
aasmaan ko chune ki chah nahi hai mujhe me,
par taro ko pane ke khwab main har pal rakhta hoon,
kuch nahi chahte hue bhi,
main bahut kuch pana chahta hoon,
apni aankhon main aansoon ko basakar,
main sabko hasana chahta hoon,
khud ko tanhaiyo main sametkar,
har kisi ko kisi ka saath dilana chahta hoon,
chahe khud ko mitana pare,
par har kisi ko uska jahan dilana chahta hoon,
mere khwab shayad aasmaan se bhi barde hain,
par unhein pane ki chahat bhi shayad aasmaan se bhi bardi hai….
No comments:
Post a Comment