dil lagaana ab apni fitrat mein nahi

raat bhar chalta raha teri talaash mein,
ret pe nishaan yeh bataate hain,

teri justzoo hi thi in nigaaho mein,
paaon ke chhale bhi yeh jataate hain,

har aahat pe tumhein dhundhta hoon,
hawaa ke rukh bhi murd jaate hain,

mere dil-e-betaab pe nazar daalo zara,
ashk gaalo pe nishaan chord jaate hain,

ek khaayi ho gayi hai gehri rishto ki,
na jaane gir ke kitne sambhal paate hain,

kuch arse se hum soye hi nahi,
tere khwaab bhi dil dukhaate hain,

tujhse dil lagaaya to jaana,
sapne palko talle bhi tut jaate hain,

le kar le roshan duniya apni,
ghar jalaaya hai, dil jalaate hain,

gham pee liya teri bewafaayi ka,
naam le k tera zakhm muskuraate hain.

dil lagaana ab apni fitrat mein nahi,
teri parchhayon se bhi muh chhupaate hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts