sach to yeh hai k tu kuch bhi na thi

jab tak tune thukraya na tha,
mohabbat bheekh hai socha na tha,

tere pehlu mein nazar aayi kaynaat mujhe,
duniya ko theek se dekha na tha,

saath jab tune chorda to bada mayoos tha magar,
zindagi aage bhi hai socha na tha.

jane kyun tujhe apni zindagi samajh baithe,
sach to yeh hai k tu kuch bhi na thi,

meri nakami ki wajah yehi rahi shayad,
hosla tha magar jazba na tha.

tere chehre pe shikan dekh kar ab yaad aaya,
meri aankhon pe ab chashma na tha.

yeh bhi acha hua ki dil tut gaya mera,
zindagi ka koi hadsa-e-sabak na tha.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts