dardon se kuch is kadar chhalni ho gaya hai raaj

kurred ke mere zakhmon ko usse kya mila hoga,
lahoo ke har katre mein apna aks dikha hoga,

mohabbat ka isse haseen kya koi namuna hoga,
ki meri ibadat-e-ishq se darta khud khuda hoga,

ek aah to usne bhi bhari hogi us lamhe mein jaroor,
jab dard-e-dil mera saari haddon se guzra hoga,

jise humne dhunda kiya har tukde mein kabhi,
kya tha maloom ki woh is dil mein chipa hoga,

aashiq parvaane kud pardte hain kisi shamma mein,
sochte bhi nahi ki haal unka ab phir kya hoga,

lakh palkein jhukaaye woh bahanon se par dekhna,
uski aankhon se ab bhi mera aks na mita hoga,

dardon se kuch is kadar chhalni ho gaya hai raaj,
jo saamne khada karo to sharmsaar aainaa hoga,

mehfil mein aksar log mujhse pucha kerte hain,
ki tu aashiqi mein zakhmi aur kitna hoga

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts