woh purani yaadein aaj taja hogayi phir se

dil ki dhadkan humari tej hone lagi,
woh aa jo baithe hain mehefil mein phir se,

jo nazar meri unki nazar se mili,
to woh purani yaadein aaj taja hogayi phir se,

sabse nazre chupa kar is sham ki ronak hai woh,
yuh laga jaise pyar mera samajhne lagi woh phir se,

jab yaaron ne ki humse guzarish ek nagme ki,
to hal-e-judai sunane lage hum phir se,

samjha to tha ke ayegi unki ankhon me bhi nami,
par woh te jo muskura kar door chal diye phir se,

hum pukarte gaye aur woh door chalte rahe,
yuhi nadani mein hum unhein rokne ki koshish karte rahe phir se,

kafi der tak dekhte rahe apne armano ki chitta ko,
aur tannhai hum pe hassne lagi phir se,

dil ko to aab tak nahi yakeen unki iss beruhki pe,
jo har raat unke laut aane ka sapna dekhte hai phir se.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts