yeh dil toot kar bikhar jaaye to accha hoga

yeh dil toot kar bikhar jaaye to accha hoga,
hum tumhari nazro se utar jaaye to accha hoga,

suna tha ishq se pighal jaata hai patthar bhi,
gehrayi mein dil ki doob jaata hai samundar bhi,

koi kami rahi hogi jaroor meri wafa mein shayad,
kyo nahi hua tumhein meri aanhho ka asar kabhi,

ho kar aaye hain jis tarah se ruswa tere ghar se hum,
bhulkar bhi ab na tere shehar jaaye to accha hoga,

yeh dil toot kar bikhar jaaye to accha hoga,
hum tumhari nazro se utar jaaye to accha hoga,

rote huye lamha dekha na kisi ne mujhe,
diye hain kaise kaise zakhm iss zindagi ne mujhe,

kisi aur se kya karu shikayat aur kyon kar karun,
jab na samjha mohabbat ke kabil tu hi ne mujhe,

koi khwaish nahi ab to bas itni aarz hai khuda se,
mohabbat teri dil mein liye mar jaaye to accha hoga,

yeh dil toot kar bikhar jaaye to accha hoga,
hum tumhari nazro se utar jaaye to accha hoga.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts