yeh main janta hoon ya khuda janta hai

kitne ajeeb rishtein hain yahan ke,
do pal milte hain, sath-sath chalte hain,
jab mord aaye to bach ke nikalte hain,

mere dil ki baatein.. 
main janta hoon ya khuda janta hai

tum meri zindagi mein aaye aise
jaise sawan ki barsaat,
tum meri zindagi se gaye jaise
guzri ho kaali raat,
haalat meri kuch aisi huyi, 
jo koi nahi janta hai, 

mere dil ki baatein..
main janta hoon ya khuda janta hai.

aaye the meri zindagi mein,
to bahar aa gayi thi,
gaye to zindagi reh gayi
patzar bankar,
sukha zindagi ka patta,
koi mali nahi janta hai,
mere dil ki baatein..
main janta hoon ya khuda janta hai.

mere hoton par muskan di pehle to tumne,
phir pyaar bhari in aankhon mein aanshun bhar diye,
royein hum kuch iss kadar koi sahara nahi janta hai,
mere dil ki baatein..
main janta hoon ya khuda janta hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts