ek-duje ke bina zindagi adhoori hoti hai

khawaishein kahaan kisi ki puri hoti hai,
sapno ki hakikat to bahot buri hoti hai,

jitni bhi karlo aarzoo humdum ko paane ki,
darmiyaan utni hi doori hoti hai,

bichard jaate hain sathi safar-e-zindagi mein,
mil na paana to unki majboori hoti hai,

milkar bhi bichad jaate hain,
kuch aise badnaseeb bhi hote hain,
judaai ke aalam mein,
phir milan ki umeed har dil me hoti hai,

mehkta hai unka pyaar ek-duje ke sahare,
muskurahat honthon pe zaroori hoti hai,

chehre pe jhooti muskurahat zaroor sajaa ke rakhte hain,
na jaane kaunse mord pe ek aur gam se mulakaat honi hai,

soch nahi sakte zindagi ko sathi ke bina,
bichardana to dono ki kamzoori hoti hain.. ,

wajood hi nahi hai ek doosre bina koi,
judaai ki ghatiya chaal, wakt ne chali hoti hai,

phir bhi chalte rehte hain bina kuch soche,
ek-duje ke bina zindagi adhoori hoti hai,

milan hoga jis din chaahat ka apni chaahat se,
us din dekhna duniya ko jalan kitni hoti hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts