woh chahate hain ki mere lab pe ab shikayat bhi na ho

woh chahate hain ki mere lab pe ab shikayat bhi na ho,
woh katal kerte rahe aur mere dil se aahat bhi na ho,
jab chaha dil se khela, jab chaha tord diya,
aur uski bewafai ki kisi se charcha bhi ha ho..

roz ek zakham naya is dil pe mere lagaya jaye,
par aankho se aaskh chalakane ki ejaajat bhi na ho...

zindagai jaise bhi ji chahe gujaro,
aayena samane rakho to galtiyo ka ehsaas bhi na ho,
hadd se bardne lage dard to chup kya rahna,
bujhdili lagne lage, aisi sarafat bhi na ho...

kyu saza lete hain barde log un kitabo ko almari me,
jinhe pardne ki unko kabhi fursat bhi na ho...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts