yahi acha hai tu kisi se pyar na kar

dil ki baaton pe aise aitbar na kar,
yahi acha hai.. tu kisi se pyar na kar.

bana na de ghayal tujhko bhi mohabbat,
tu apne dil ko kisi k liye bekarar na kar.

bardi hoti hai muskhil ye judaai ki ghadiyan,
tu dil me apne.. kisi ka intezaar na bhar.

aaj nahi raha duniya me kahin sacha pyar,
ye suada hai dilon ka.. tu ye beyapaar na kar.

nahi hoti yahan keemat ehsaason ki koi bhi,
tu ho ke deewana iss kadar unpe jaan nishaar na kar..

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts