na jane sine me aaj kyu itna dard hua

dhali jo shaam, to mausam bhi shard shard hua,
din chardte hi suraj bhi garam garam hua,
tamam umar safar me raha mera chehra,
isse liye to aayena bhi gad gad hua.

wo mere aiyeb ginati hai aaj kal mujhko,
wo to ek kamjor paudha thi jo aaj perd hua,
pakard k haat mera usne chalna sikha tha,
nazar ka noor tha pehle jo ab zigar ka dard hua,

hamare dil ko to aadat thi chot khane ki,
na jane sine me aaj kyu itna dard hua.




No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts