aaj dil ki har baat kahi to tera zikkr aaya

aaj dil ki har baat kahi to tera zikkr aaya,
guzari mohobbat ka har lammha yaad aaya…

huyi muddat aaj tak mujh me kuch bhi nahi badla,
mere khayaal mein teri adaaon par naya rang aaya…

teri yaadon ki aahat ko batorne mein hoon jutta,
bas tera karam hai yeh jo khudko naa samjha paaya…

mere zindagi mein ab aur baaki raha,
jab ek khayaal tak naa tujhko mera aaya…

jee raha hoon bas issi soch mein doobh kar,
waada kiya tha jo tumne, phir kyu nahi aaya…

aaj dil ki har baat kahi to tera zikkr aaya,
guzari mohobbat ka har lammha yaad aaya…

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts