kuch din to baso meri aankhon mein,
phir khawaab agar ho jaao bhi to kya,
koi rang to do mere chehare ko,
phir zakham agar mehkaao bhi to kya,
jab hum hi na mehake phir sanam,
tum gull-ae-staan kehlaao bhi to kya,
ek aayana tha main.. jo toot gaya,
ab khud se agar tum sharmao bhi to kya,
duniya bhi wahi aur tum bhi wahi ho,
phir tum se aas lagaau bhi to kya,
main tannha tha, main tannha hoon,
tum aao to kya, na aao bhi to kya,
jab dekhane wala koi bhi nahi,
bujha jaao to kya, jala jaao bhi to kya,
ek wahem hai yeh duniya ess mein,
kuch khoun to kya, kuch paaun bhi to kya,
hai yun bhi jiyaa aur yun bhi jiyaan,
jee jaau to kya, mar jaau bhi to kya...
phir khawaab agar ho jaao bhi to kya,
koi rang to do mere chehare ko,
phir zakham agar mehkaao bhi to kya,
jab hum hi na mehake phir sanam,
tum gull-ae-staan kehlaao bhi to kya,
ek aayana tha main.. jo toot gaya,
ab khud se agar tum sharmao bhi to kya,
duniya bhi wahi aur tum bhi wahi ho,
phir tum se aas lagaau bhi to kya,
main tannha tha, main tannha hoon,
tum aao to kya, na aao bhi to kya,
jab dekhane wala koi bhi nahi,
bujha jaao to kya, jala jaao bhi to kya,
ek wahem hai yeh duniya ess mein,
kuch khoun to kya, kuch paaun bhi to kya,
hai yun bhi jiyaa aur yun bhi jiyaan,
jee jaau to kya, mar jaau bhi to kya...
No comments:
Post a Comment