tumhari yaadon me hamesa dubba rahta hoon main

har baat ki hakikat tujhko batata hoon main,
juban nahi magar sab kuch sunata hoon main,

mujhe kareeb se dekho agar khud ki talash hai,
main aaina hoon sabhi raz dikhata hoon main,

tord deta hoon main khud apne sapane teri khusiyaan dekh kar,
nahi kabhi kisi ka dil dukhata hoon main,

mujhe pyar se dekhoge to pyar nazar aayega,
dukh se dekhte ho to aanshoon bahata hoon main,

mujhe tord dete ho to bhi wafadaar rahta hoon,
sau tukdo me bikhar kar bhi sirf tujhse pyar karata hoon main,

gar naraaz ho gaye raaj ki baaton se to ye hak hai tumko,
magar tumhari yaadon me hamesa dubba rahta hoon main.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts