aao sunaye tumhein apni kahani

kya sunaye tumhein apni kahani,
lafzon se beyan na hogi humari zindagani,
jeeye ja rahe the apni hi dhun mein,
hum to mast the apne hi rang mein,
na koi saathi na koi manzil thi,
bas akele hi zindagi katti thi,

ek din chal pardi raah apni,
ja rahe the masti mein apni,
chalte chalte na jaane kaise,
kadam khud-ba-khud ruk gaye,
nazar aa-gaya ek haseen nazara,


na pehle inn aankhon ne dekha us jaise koi pyara,

zulfaein urdd urdd ke galon pe aa rahe the,
jaise woh bhi unko chhuna cha rahe the,
palkein utti to laga jahan ruk gaya hai,
zameen ruk gayi hai aashman jhuk gaya hai,
dil cha raha tha bas dekhte rahe unko,
palkein kabhi na jhapke aur dekh le woh bhi humko,


ek pal main pukar sun li khuda ne,
palat ke humein dekh liya unhone,
bas nazar nazar mein jaise baat ho rahi thi,
dekhte dekhte shaam bhi dhal rahi thi,


ek nazar main woh aisa jaadu chala gayi,
iss dil mein to khal-bali macha gayi,
bas nazarein jhuka ke woh sharmani lagi,
kadam murdke woh jane lagi,

dil chaah raha tha jaa ke roklun unhein,
apne dil ki baat beyan ker dun unhein,
jaate jaate palat ke woh muskura gayi,
ek pal main meri duniya badal gayi,

bas gaya tha nazron main manzar unka,
har jagah dikhta tha bas chera unka,
woh raat kerwaton mein guzar gayi,
meri aankhon se woh neend bhi urdda gayi,

bas deedar ko aankhein taras rahi thi,
ru-baru unse mulakat ki ho rahi,
woh subah to bardi haseen lagne lagi,
zindagi bhi nayi si lagne lagi,

chal parda dil apni manzil ko,
aankhein dhondti rahi bas unko,
din dhalte dhalte raat ho gayi,
na jaane woh ajnabi kahan kho gayi,

kahan dhondte hum apni gumnaam mohobbat,
kisse kerte beyan hum apni yeh chahat,
bas har rooz subah sham dhondte unko gali gali,
lagta hai khuda ne meri takdeer hi yeh likhi,

aaj bhi yaad hai humein unka woh muskurana,
nazrein jhuka jhuka ke haay yun sharmana,
unki tasveer to dil mein bas gayi hai,
ab bhi mohobbat meri dhadak rehi hai,

bas yehi hai meri zindagi ki kahani,
na jaane kab kaise guzar gayi meri jawani..

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts