koi kya jaanega meri zindagi ka afsana

koi kya jaanega meri zindagi ka afsana,
apni to aadat hai har baat par muskurana,

log to roo lete hain duniya ko dikhane k liye,
apni to aadat hai gam me khushi milana,

kon jaane kiske dil me kya hai,
log kehte hain mujhe pasand hai duniya ko jukhana,

jaroori to nahi jo muskuraye usse koi gham na ho,
aata kahan hai sab ko apna gam chupana,

hum jo karte hain baat chand logon se,
woh bhi samjhate hain humein pasand hai unhein satana,

kissi ko kissi ki parwaah nahi yahan
bas yaad rehta hai sab ko hakk jatana,

har baat ki khaal uttarte hain log yahan,
aata bahot hai logon ko baat se baat banana,

kissi ko aitraaz ho agar parindoon k chah-chahane se,
chordte kahan hain parinde chah-chahana

agar kissi ki baatein na bhayein man ko,
behater hota hai unhein bhool jaana,

hum to wo paagal hain jaan loo yaaro,
de denge jaan bhi kabhi aazmana...!!

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts