Heaven is like hell without Love

Your sentiment is your love,
your love is your heart,

Your heart is your spouse,
your spouse is your future,

Your future is your destiny,
your destiny is ambition,

Your ambition is your aspiration,
your aspiration is your motivation,

Your motivation is your believe,
your believe is your peace,

Your peace is your target,
your target is heaven,


Heaven is like hell without Love

wada kiya tha unhone

wada kiya tha unhone, zingadi bhar sath nibaynge,
bhool gaye woh apna wada, humein kya yaad rakh payenge,
message kara hai, unko gehri neend se jagane ke liye,
zindagi bhar sath nibane ka kiya wada yaad dilane ke liye…


wada khilafi aur bewafi dono ek jaise kaam hai,
ab na karna inko tum, dono hi bure ilzam hain,
pyar mile agar zindagi me to isse bardi koi saugaat nahi,
pyar ki khatir gar jaan bhi jaye to isse achi koi baat nahi…

humse door jane ka banana bana lena

humse door jane ka banana bana lena,
bas jaane ki ek wajah bata dena,
khud chale jayenge aapki zindagi se,
lekin jahan aapki yaad naa aaye,
uss jagah ka pata bata dena...

mere hatho mein agar tera hath hota

mere hatho mein agar tera hath hota,
mera mukaddar hi khud mere sath hota,

raah ke kaatein bhi phool ban jate mere liye,
agar us pal main bhi tumare sath hota,

dushman-e-wafa ke sitam se na darte kabhi,
agar tu mera humsafar banke mere paas hota.

tanhayiaan jab aawaaz lagaati hogi

tanhayiaan jab aawaaz lagaati hogi,
yaad usse bhi meri sataati hogi,

meri nazron se girte aanshu,
woh bhi palkein bhingaati hogi,

aankhein gar in honton pe sazzti,
uski hasshi shor machati hogi,

andhera bhar meri rahon me,
apne roshan diye bujhati hogi,

bana bebasi ko kismat mera,
lakeerein apni bhi mitaati hogi,

taras raha main ek deedar ko,
wo bhi nazroon ko bichhati hogi,

marta hoon main pal pal jee kar,
ruh wo bhi khud ki daffnati hogi,

mere arrman kisi keemat ki nahi,
tamaam aarzoo wo bhi jalati hogi,

royun chahe kar ke saccha pyar,
bewafa mujhe sabko batati hogi,

ab mushkil ho raha jaagna mera,
neend ki aagosh me wo jati hogi..!!

samay ke saath apne begane ho jate hain

samay ke saath kyon apne begane ho jate hain,
akhir kyon alag logon ke paimane ho jate hain,

jo humare saath jeete the apno ki tarah,
humse alag kaise unke zamane ho jaate hain,

are! aisi hi bewafaiyon ke karan hi to,
logon ke aashiyane shamsaan ho jate hain,

doston se aisi bewafaiyon ko sehne ke baad hi to,
andhera humari mohabat ke thikane ho jate hain,

is begane ko jo bhi ek baar banata hai apna sacch,
sab ke sab ghayal raaj ke dewane ho jate hain.

na the anjaam-e-mohabbat se waakif hum

na the anjaam-e-mohabbat se waakif hum,
hote to shaayad mohabbat na karte hum,

na the dooriyon se waakif hum,
hote to shaayad juda na hone dete hum,

na the khud apne naseeb se waakif hum,
hote to gila na karte hum,

na the khuda se waakif hum,
hote to dua na karte hum

tum saamne baithi raho

chaahe khamosh raho per saamne raho,
nazar bhar dekhte rahe,
aur ias dil ko sakoon milta rahe,
aankho me hi pa lenge saara jahaan,
gar tum saamne baithi raho…

akelapan to na tordega mujhe,
aashk to na jalayenge mujhe,
saanse to sakoon se chalti rahengi,
gar khamosh hi tum saamne baithi raho...

kolaahal to na uffnega dil me,
armano ki peerda to na satayegi,
sukhe zakhmo ki char-maraahat to,
dil ki diwaaro ko na khurach jayegi,
gar tum saamne raho...


kyuki...
tumse judaai ka gam to.. nasoor ghaawo ko dehkaata hai,
dil ki dabi chingariyo ko.. virah ka dard hawa diye jaata hai,

aur fir…
aangare na ban jaaye shole,
aashk na ban jaaye tapti boonde,
sukhe zakham na fir se rishne lage,
aur bachi ye saanse sakoon se chalti rahi,

iske liye…. bas iske liye…
tum saamne baithi raho,
chaahe kuchh bhi na kaho,
bas khaamosh saamne raho…!!

aakhir kya tha rishta usse mera

aakhir kya tha rishta usse mera, 
mujhe maalum nahi, mujhe maalum nahi...

dil kehta hai, wo teri mohabbat hai,
dimaag kehta hai wo kisi aur ki aamanat hai ,
saanse kehtin hain wo teri zindagi hai,
par chalakate aanshu kehte hain,
tera sab kuch uska hai par wo teri nahi.

aakhir kya tha rishta usse mera, 

mujhe maalum nahi, mujhe maalum nahi...

yaadein kehti hain woh teri jeene ka sahara hai,
tannhayaan kehtin hai wo tera aapnapann hai,
dard kehta hai to teri khushi hai,
par haathon ki lakeerein kehtin hain,
wo teri ho ker bhi kabhi teri nahi.
aakhir kya tha rishta usse mera, 
mujhe maalum nahi, mujhe maalum nahi...

andheera kehta hai, wo teri har raat ki subah hai,
khaawab kehta hai, wo sab tere haseen pal hain,
aada kehti hai wo tera deewanapan hai,
par kadmon ki aahat kehti hai,
wo teri raah hai, par tera mukkaam nahi .
aakhir kya tha rishta usse mera, 
mujhe maalum nahi, mujhe maalum nahi...

waqt kehata hai, wo teri aadhuri kahani hai,
lammhein kehte hain, wo tere liye ek pahelli hai,
jubbaan kehti hai wo sirf teri chaahat hai,
par khudaa kehta hai, 
raaj wo pyar to hai teri, par wo kabhi teri thi hi nahi.aakhir kya tha rishta usse mera, 
mujhe maalum nahi, mujhe maalum nahi...

tord gaye iss dil ko

aaj phir ek aur naya dard mila is dil ko, 
hum doob gaye saagar mein,
chord gaye saahil ko.

humne socha apno ki rahgujar mein koi hamara bhi hoga, 

magar gira diya apno ne humein taras gaye manzil ko.

phir ajnabi logon ko humne banana chaha apna, 

magar jab apne na huye apane to woh bhala kya karate,
tord gaye iss dil ko.

har pal yaad kar ke roye

uski baaton ko har pal yaad kar ke roye ,
uske liye khuda ke dar pe fariyaad kar ke roye,

uski khushi ke liye usko hi chhord diya humne ,
phir uski hi kami ka ehsaas kar ke roye ...!

you were my love, my life...

I stand here watching the sunset west,
thinking out loud, is this a test.

dreaming of the days gone past,
where did they go? they went too fast.

the sun beats down upon my face,
slowly disappearing with just a trace.

wondering about the times we had,
the memories, the love, it makes me sad.

the waves come in from the sea.
is this life? it just can’t be.

you have been gone, three years tomorrow.
my heart feels pain, my soul feels sorrow.

as I walk across the sand
asking why, I don’t understand,

I lay flowers at your place of rest.
you were my love, my life, the best.


sab kyu bhool jaate hain

halat hi aisi hai ke aanshu chhalak aate hain,
de kar ke lakho gham, sabhi dil ko dukhate hain,
main aaj tak na samajh paya hoon mere khuda,
mere kiye ehsaano ko sab kyu bhool jaate hain…

ek cheekh gallein me attaki huyi ye saalo se

ek cheekh gallein me attaki huyi ye saalo se,
anshoo ki bauchar barasne ko tarse saalo se,
kaash aaj bin mausam gire jo barsaat,
meri tarasti huyi ruh ko mile karar...

yun to galley lagaya tumne kayi baar,
meri dhardkano ko na suna ek baar,
mere tan se na baji koi sitar,
maine aawaz bhi diya kahi baar,
na jane kyun na suni tu meri koi pukar...


isi liye mann aaj kahe baar baar,
bin mausam jo aaj gire barsat,
to sukhe huye mann ko aa jaaye karar,
bhagavan jo aaj sune meri pukar,
bin mausam aaj karien barsat...

woh ladki jo meri pehchan thi

kabhi meharban thi, toh kabhi anjaan thi,
mera weham thi woh, ya mera ghumaan thi,

de kar zakham, woh marham rakhti thi,
bana rahi thi mujhe, ya wakyi itni nadaan thi,

mujhe chord gayi, ab hamesa ke liye,
woh ladki jo meri pehchan thi,

kaash ke woh mil jati hum ko humdam,
kitni is dil ko iss baat par abhimaan thi,

khuda ko chaahte to kuch mil bhi jata,
humne chaha tha jise wo toh mehaz ek insaan thi ... !!

wo kuch pallon ka saath

wo kuch pallon ka hi saath main bhula na paya,
apne man ke aaine se unka chehra mita na paya,

maine wada kiya tha har lamha muskarane ka,
iss liye unki yaad mein aanhsoo bhi baha na paya,

dil dhakta hai mera ab bhi unke hi naam ke saath,
ab tak is nadan dil ko main samjha na paya,

maksad-e-zindagi meri ban gayi hai wo,
wo chale gaye magar ye baat unhein bata na paya,

ussi mord pe tanha khada hai “raaj” intezaar mein,
jis mord pe kabhi main aarzu-e-dil dikha na paya.

aye ishq humein barbaad na kar

aye ishq na cherd aa ker humein,
hum bhoole hu-woon ko yaad na kar,
pehle hi bahut barbaad hain hum,
tu aur humein barbaad na kar...


kismat ka sitam hi kafi hai,
koi tazza sitam ezaad na kar,
yun zulm na kar, barbad na kar ...

raaton ko uth uth kar roote hain,
ro ro ke duaayein karte hain,
aankhon me tasweer, dil me dard liye,
tujhe dhund dhund ker aahein bharte hain,

aye ishq ye kaisa rogg laga,
jeete hain aur na marte hain,
in khwaabon se yun azaad na kar...

jis din se bandha hai dhyan tera,
ghabraye huye se rehte hain,
har waqt yaad kar kar ke,
khoye khoye se rehte hain,

sukhe huye phoolon ki tarah,
murjhaaye huye se rehte hain,
behaal na kar besudh na kar,
aye ishq humein barbaad na kar...!!

main ghum se rishta jord ke jaau kahan

kab se usko dhondta hoon, bhinge palko se yahan,
ab jane woh kahan hai, thi jo mera ashiyan,
rabba mere mujhko bata, diye mujhe kyon yeh saza,


ab sare bandhan thord ke, 
yaadon ko tannha chord ke,
main ghum se rishta jord ke jaau kahan...

ek chhota sa jahan, chand khushiyon se bhara,
usko mujhse cheen kar, hai mil gaya tujhko bhi kya,
abb hai tardapta sirf jaan, kar dun main woh bhi fanaa,
ab sare bandhan thord ke, 
yaadon ko tannha chord ke,
main ghum se rishta jord ke jaau kahan...

waqt ke kitne nishaan hai, zarrei zarei mein yahan,
doston ke saath ke pal, kuch haseen kuch gumjyda,
sab hua abb to fanna.. bas raha baki dhuaan..
ab sare bandhan thord ke, 
yaadon ko tannha chord ke,
main ghum se rishta jord ke jaau kahan..

why people suddenly change after they get what they wanted

I really wonder why people suddenly change after they get what they wanted.

One day they are sweet, the next day they are not.
One day they are there with you, the next day they are not.
One day you are important to them, the next day you are worthless.
One day they love you, the next day they don’t care about you.

That's how ironic people and things can be, pretty shits, pretty lies wrapped up in ribbons... & the worst part is... that kind of people still get what they want in life... and we are left behind crying for them.. wondering how they changed.

na banne koi phir se dost mera

aaj phir dil mein ho rahe kuch dard hain,
ek dost ke haatho phir khaaye kuch zakhm hain,

dost samajh jise apna sab kuch humne tha diya bata,
aaj wahi de rahe humein kuch naye zakhm hain,

kuch nahi bahut kuch chipaya tha usne,
aur keh rahe hai ki humne sab kuch hai diya bata,

kya karu kisse kahu aur jaa kisse karu mein shikwa,
jab apne hi ban gair humein de rahe naye zakhm hain,

dost ban mera dil mein kuch aise the woh bas gaye,
yuhi haste haste mere sab armaano ko khushi khushi hi kuchal gaye,

aye rab na fir kabhi dena mujhe yun daga,
na banne koi phir se dost mera,
dost bankar hi mujhe de rahe sab zakhm hain.

khamosh fizaaon me

iss khamosh fizaaon me, sunayi deti hai mujhe teri aawaz,
kahi door kisi kone se, nazar aati hai mujhe teri parchayi,

lagta hai har paal ke jab bhi murd kar dekhunga to nazar aaogi tum har taraf.
patton ke sarsrahat me mujhe sunayi deta hai tera dheere se aakar mere kano me kuch kehna,

chup chaap chalti yeh pawan,
deti hai tera yeh sandesha,
ke aa jao mere pass…

par is tannha si zindagi me,
jab bhi main dhundtha hoon,
toh tum kahein bhi nazar nahi aati,

ek virani si chayi hai, iss dil me,
aur bahut tanha hoon mein tere bin...

suno tum laut aao na

suno tum laut aao na,
woh dekho chaand nikla hai,
sitaare jagmagaye hain,
hamari yeh bhingi aankhein,
duaein mangti yeh aankhein,
tumein hi sochti yeh aankhein.
tumein hi dhoondti yeh aankhein,
tumein wapis bulati hain....

yeh dil jab bhi dharhkta hai,
tumhara hi naam leta hai,
yeh aanshoo jab bhi behate hain,
tumhare dukh mein behte hain,
ke barish jab bhi hoti hai,
tumein yaad karti hai,
khushi koi jo aaye bhi,
tumhare bin adhoori hai,
suno tum laut aao na,
tum laut aao na….

jab koi apna begana nazar aata hai

ek lammha me ek manzar guzar jata hai,
jab koi apna begana nazar aata hai,
yun to awaz aati hai har shisse ke tutne ki,
par kabhi kabhi bina awaaz ke bhi sab kuch toot jata hai..

jahan parde hai hum besudh ye teri mehfil hai saakhi

jahan parde hai hum besudh ye teri mehfil hai saakhi,
nishaan jism pe hai par zikhami to mera dil hai saakhi.

tu dekh kar chali jaati hai jisse kafan oodhe hue,
es dhokhe ka gawaah woh tera hi pyar hai saakhi.

de kar zakham apno ko tum apni zindgi phir saja lete ho,
tannha ek zindgi ko to dard hi dard haasil hai saakhi.

kya hua hai asar meri is zindgi me teri bewafai ka,
ye to har pal chalakti meri bebas aankho se jahir hai saakhi.

beech samandar me tanha chhordne waale, jara murd kar to dekh,
jahan zindagi bhar ke saath ka wada kiya, pass hi wahi sahil hai saakhi.

ye aanshu, ye dard, aur ye zakham isi duniya ke tohffe hai mujhe,
mere dil hi me jo toot gaye un armaano ka tu hi katil hai saakhi.

kyun dard nahi hota khud ko zakham de kar ye duniya puchhti hai,
kyun ki aaj bhi mere behte aanshuo me tu shamil hai saakhi.

jeete jee mere pyar ka kabhi tujhe ehsaas hi na hua,
phir aaj tu geeli palkein liye mere janaze me kyun shamil hai saakhi.

kya hua jo ye zindagi mera saath kuch pal aur na de paayi,
baad zindagi ke meri rooh ki bhi tu hi manzil hai saakhi…

mere jazbaat bhi tum

mera saawan bhi tum hoo, meri pyaas bhi tum ho,
meri baahon me chupi aas bhi tum ho,

tum yun to bahut door, bahut door ho mujh se,
ehsas ye hota hai, mere paas bhi tum ho,

har zakham ki aaghosh me hai dard tumhara,
har dard me raahat ka ehsas bhi tum ho,

kho jao to veeran si ho jati hain rahein,
mil jao to phir jeene ka ehsas bhi tum ho,

likhta hoon to tum hi utarte ho mere sabdo me,
pardhta hoon to mere jazbaat bhi tum, awaz bhi tum ho....

meri khata kya hai

manzil kya hai, rasta kya hai,
hausla hai to fasla kya hai,
wo saja dekar door ja baithe,
kis se puchhun ki meri khata kya hai.......??

akhir tum kya chaahate ho

rakhte the kabhi unki saanson ki khabar,
woh sochte hain ki khud ko humse chupa lenge,
ek din lafzon se haarkar jab chale jayenge hum,
dekhenge us ruswaayi ki woh kaun si dawa lenge.
meri mohabbat ka wajood mita dena chaahte ho,
un wafaaon ka yeh kya sila dena chaahte ho,
hai ishq tumhi se,
chahenge tumhein umra bhar,
yeh baat kyon bhula dena chaahte ho?

aye sangdil...
roothe ho to mana lenge hum,
apna woh patthar ka dil kyon dikha dena chaahte ho,
jhoothi nahi the meri mohabbat,
is baat ko kyon khud se chipa lena chhate ho?

chaahate hain jeena tumahre saath,
aur tum ho ki humein yaad kar,
khud ko rula dena chaahte ho,
humaari kis naadaani ki yeh tum,
kaisi saza dena chaahte ho?

ek din jo yeh diwaana kar jayega duniya se kuch,
phir kaun puchega ki tum kya chaahte ho,
mera ishq tha ek gunaah,
yeh baat kyon zamaane ko jata dena chaahte ho,
ek baar to kah do humse o jana..
akhir tum kya chaahate ho?

sabne kaha bhul ja usse

sab ne kaha tu badal sa gaya hai,
maine kaha waqt badala hai...

sab ne kaha kaun yaad aata hai udasi me...
maine kaha...  kuch purani galiya, purane kissey aur ek ladki...

sab ne kaha tum me pehle jaisi ab baat nahi...
maine kaha zindagi me uska jo sath nahi...

sab ne kaha ab bhi kisi ki aankho me doob sakte ho?
maine kaha ab kisi aankh me wo baat nahi...

sab ne kaha kyu itna toot kar chaha usse?
maine kaha insaan hun, koi  pathar nahi...

sabne kaha kya bewafa hai woh?
maine kaha mujhe ab wafa ki talash nahi...

sabne kaha bhul ja usse ab?
maine kaha woh hakiqat hai koi khwab nahi...

kuch baatein kar ke woh hamein rula ke chale gaye

kuch baatein kar ke woh hamein rula ke chale gaye,
hum na bhoolenge yeh ehsas dila ke chale gaye,
aayenge kab wo ab to ye dekhna hai saari umar,
bujh rahi hain wo aag jise wo jala ke chale gaye.......!!

ek rooz aap ne thama tha hath mera

ek rooz aap ne thama tha hath mera,
mere hath se aapke hath ki khushbo jati nahi,

aap bohat pyar se pukarte the naam mera,
mere kano se aapki wo awaaz jati nahi,

main bulata bhi na tha or aap aa jate the,
ab bhulane par bhi meri awaaz aap tak jati nahi,

main janta hoon ki ab mere ghar ke raste aapke nahi,
phir bhi meri aankhon se intezaar ki aadat jati nahi.....

har chahat dil me mere dabbi reh gayi

udaas chehara, 
bechain dil aur ankho me nami reh gayi...

tera ho ker bhi, 
tere na hone ki kami reh gayi...

har saans tujhe yaad karna aur bebas ho jana,
yehi to bas kahani-e-zindagi reh gayi.
..

pata nahi kis mord pe milegi ruh ko rahat,
har khwaish, 
har chahat dil me mere dabbi reh gayi...

how much you mean to me

Sometimes, it's hard to find words to tell you how much you mean to me.  
A lot of times, I don't say anything at all. 
But I hope someday, you'll understand, having you is what I live for........

If I had to choose between breathing and loving you,
I would use my last breath to tell you I love you...

hum hass ke apna zakhm dekhte rahe

har kadam par hum sab ka hunar dekhte rahe,
ghum ka naya ek sham-o-subah dekhte rahe,

teer-e-nazar ki un ke kaatil andaaz na puchhiye,
hum hass ke apna zakhm-e-jigar dekhte rahe,

us mohabbat ke ghum ki baat hi kuch juda thi,
unka hum apne dil pe parda asar dekhte rahe,

phir kabhi wapas nahi aaya baharon ka wo kafila,
hum tanhai mein ujrda apna ghar dekhte rahe,

abhi yaad hai aakhri mulaqaat ka andaaz unka,
hum unki wo meri betaab nazar dekhte rahe.

uss ki chaahat me hum zamana bhool gaye

uss ki chaahat me hum zamana bhool gaye,
uss ke baad kisi ko apnaanaa bhool gaye,


phir laga sara jahaan veerana hum ko,
jasi chaman me phool meheknaa bhool gaye,

uss se mohabat hai bataya saare jahan ko,
yehi baat uss ko batana bhool gaye,

hum ne mita diya jahan bhi likha tha naam uska,
magar apne dil se hi usko mitana bhool gaye,

hum juda huye unsse muskrate huye,
magar apni palkon se aansu hatana bhool gaye..

tere saamne meri har ek shikyat haar jaati hai

jo chahat ek tarfa ho,
wo chahat haar jaati hai,

kahin par dua ka ek lafz assar kar jaata hai,
to kahin barson ki ibadat bhi haar jaati hai,

mohbbat kab kisi ko dushmani ka sikh deti hai,
mohbbat ki bazi me hamesa mohabbat haar jaati hai,

hamein kitne bhi shikwe ho teri bewafi par,
tere saamne meri har ek shikyat haar jaati hai,

ek aarzu si hai ke tujhe bhool jaayen hum,
par teri yaad aate hi ye hasrat haar jaati hai.....

ae dil tu itna bekarar kyu hai

aye dil tu itna bekarrar kyu hai,
jiske dil me tere liye jagah nahi, 

uss se itna pyar kyu hai..

kabhi milegi wo, apna banayegi tujhe,
iss galat fahmi ka shikaar kyu hai..

keh diya uss ne ki...
tumhare kismat me main nahi,
fir bhi apne mohhabat pe itna aitbaar kyu hai..
ae dil tu itna bekarar kyu hai...????

mohabbat ne teri kiya iss kadar be-khabar

mohabbat ne teri kiya iss kadar be-khabar mujhe,
na aa raha kuch bhi tere siwaa ab nazar mujhe,

khada hun wahin main jahaan par hum tum bichard gaye,
bichard kar na koi raas aayi sanam reh-gujar mujhe,

na the shaayad wo kabhi hamsafar mere,
jalaate rahe yeh mohabbat-ke-safar mujhe,

na ab door reh kar jiyaa jaay ek pal bhi bin tere,
sajaa kar ghazal.. rakhu labbo par yun umar bhar tujhe,

nigaaho me jab neend raatein pirone lage,
bitha kar rakhta hu khwaabon ki tarha hadd-e-nazar tujhe,

kiya hai ishq tujhse jo yeh duniyaa ki bheed me,
hai dhundhte sabhi dar-badar mujhe,

bahaarein mere aangan me hi ho jati hai zakhaami,
diye zindagi ne the gullestaan-e-gham iss kadar mujhe..

kaise bataye kitna teri yaad aathi hai

kaise bataye kitna teri yaad aathi hai,
har ghadi.. har pal humein kitna satati hai,
yun tho har shaam yadoon me guzar jaati hai magar,
har raat tumhaari kami ki ehsaas dilaati hai...

raat ko jab chand taaron ki baraat le ker aati hai,
sitaare jab sharm se jhil milati hai,
nazare meri doondhte hain tujhe chand me,
aur tumse bhi shayad chand kuch keh jati hai...

shaam ki hawa bhi teri yaad le aati hai,
sahil ke rait par hamara naam likkh jati hai,
jab naam tera mitt jata hai sagar ke ek lahar se,
phir akela mera naam apni adhoori kahani ki yaad le aati hai...

sunsaan raaton me jab hum akele me ghabraate hain,
tab teri yaadon ke chaadar ko taan lethe hain...


tujhe nahi na sahi… teri yaadon ko pyaar to hai humse,
jab bhi dekhti hai tanha, to chali aati hai,
aur kya bataye kitna teri yaad aati hai,
judaai me teri, humein har pal tardpaati hai

ilzaam laga gaye bewafai ka

hota kaise unhein ghum humari ruswai ka,
jab fark pada hi nahi unhein humari judaai ka,

khamoshi se saha humne jab har ghum,
to ilzaam laga gaye bewafai ka.....

aisa kabi na karna

tum rooth jao mujh se,
aisa kabi na karna,
main ek nazar ko tarsoon,
aisa kabi na karna....

main puch puch haarun,
so so sawal karon,
tum kuch jawab na do,
aisa kabi na karna.....

mujh se hi mil ke hansna,.
mujh se hi mil ke rona,
mujh se bichaar kar jee lo,
aisa kabi na karna,

tum chand ban kar rehna,
hum dehkte raheinge tumko,
tum kisi roz na niklo,
aisa kabi na karna,

tum chale jaaoge to,
dehkenge tumhara raashta,
tum loat kar na aaoo,
aisa kabi na karna…...

unhe khud pe guroor ho gaya

wo bhi ek zamana tha,
jab unka dil mere liye deewana tha,
meri kismat me likhi thi judaai usse,
uska ruth jana to ek bahana tha..!!

usne mujhe aazmaya bahot hai,
ja ja kar maine manaya bahot hai,
jisne mujhe rulaya bahot hai,
be-wafaai to unka dastur ho gaya,
unki muhabbat me ye dil choor - choor ho gaya!

sach pucho to kasoor unka nahi mera tha,
humne unhein chaha hi itna ki,
unhe khud pe guroor ho gaya...!!

kerta hoon deewaron se baatein apne dil ki

keh sakta hoon main,
deewaron se baatein apne dil ki,
sun sake baat dilki mere,
deewar itni bardi to ho,


na waqt yahaan jeene ka,
na fursat hai marne ki,
deewaron pe hakk jataane ki,
koi ek ghardi to ho..

yeh bhi sach hai yeh rishta ab chal nahi sakta

jab ki thi mohabbat to batlaya tha sabne,
sambhal kar khelna log haar jaate hain,

par mera kabhi na ittefaak tha is baat se,
socha jo dil se khelte hain woh jeet jaate hain.

magar ek khwaab reh gaya hai aaj barson ke baad,
ki chain aur sukoon ab haasil nahi hota,

usse nahi pasand hai meri koi bhi baat,
kehti hai kaash main uski zindagi main shaamil nahi hota.

har ek baat par lardte hain hum aur
phir woh rote huye so jaati hai.

tab main kosta hoon khud ko
aur raatein usse dekh kar gujar jaati hai,

main wafa karta hoon usse yakeen nahi is baat ka,
zindagi ab aise ek mord par nazar aati hai,

ki hain raaste bahut jahan magar
woh sadak nahi jo manzil ko jaati hai.

meri yeh takleef hai ki main uske bin reh nahi sakta,
magar yeh bhi sach hai yeh rishta ab chal nahi sakta,

phir bhi log kehte hai yeh kyun
ki woh mere bin main usse alag reh nahi sakta. 

aye waqt tu laut chal kuch piche

aye waqt tu laut chal kuch piche,
kuch pal unke saath aur jeene de,

karni hai mujhe abhi kayi baatein,
unke haathon mein apna naam to likhne de,
aye waqt tu laut chal kuch piche
kuch pal unke saath aur jeene de…

dil mein hain uthte tufaan kayi,
unki baahon mein mujhe kuch pal rehne de,
aye waqt tu laut chal kuch piche,
kuch pal unke saath aur jeene de…

ek muddat se soya nahi hoon mein,
unke kaandhe par sar rakh kar sone de,
aye waqt tu laut chal kuch piche,
kuch pal unke saath aur jeene de…

inn aankhon mein hain kuch nami si ab,
kuch khwabon ko to pura hone de,
aye waqt tu laut chal kuch piche,
kuch pal unke saath aur jeene de…

hai kayi lamhein abhi adhure jo pure hamein karne hain,
jo vaade kiye the saath unhein to pura karne de,
aye waqt tu laut chal kuch piche,
kuch pal unke saath aur jeene de…

kaash hum tumse yeh keh paate

tumhare dil ki tum hi jaano,
kaash hum apne dil ki keh paate,
sada hamare dil mein rahna,
kaash hum tumse yeh keh paate,


dastak dete dil per tumhare,
es se pehle chal doge,

jab tak pahunchi ye khabar humhein,
tum door desh mein jaa baithe,

jo khabar hume yeh pahle hoti,
hum raah rok kar kah dete,
pehna kar apni khushiyon ka haar,
tumhein vida hum kar dete,

khalti hai bas ek baat yahi,
gar kehni na thi apne dil ki,
ruk jaate ghardi do ghardi,
aur hamare dil ki sun lete,

bin baadal barsat ki yun,
barsati hain yeh aankhe jab,
uthti hai ek kasak si dil mein,
kaash tum yeh samajh paate.

kaise hua main barbaad ye kahani sunata hoon

kuchh waqt purani tumhe baat btata hun,
kaise hua main barbaad ye kahani sunata hoon,

hum bhi the aam insano ki tarah apni zindagi ko khul ke jee rahe the,
dosto ke sang hasste the bolte the, khushi ke jaam pee rahe the,

ke phir achanak se dastak sunayi di kisi ki,
usse dekh kar mano ke koi hadd hi na rahi meri khushi ki...

dhire dhire main uske pyar me pagal sa hone laga,
din raat zamane ko bhool, uske khyalo me khone laga,

uspe bhi asar meri mohabbat ka khoob chha raha tha,
sach puchho to pahle pyar ka maza hum dono ko aa raha tha,

halki nok-jhok, mithe jhagdo aur beshumar pyar ke sath din guzarte gaye,
sath sath hum unpe aur bhi jada shiddat se marte gaye,

phir aagya wo din jo har ashiq ki kismat me zaroor hota hai,
sacha pyar har baar kurbani dene ke liye majboor hota hai,

aayi wo mere paas kuch majbooriya kuch bhane le kar,
hum ab ek nahi ho sakte aise hi kuch fasane le kar,

ho sake to maaf karna mera isme koi kasoor na tha,
maine bhi hass ke usse vida kiya,
mujhe laga ke main itna kamzor na tha.....

magar jaise jaise din uski vidayi ke nazdik aate gaye,
gum ke kale saye mujh par waise waise chhate gaye,

wo mujhe chord ker chali gayi apne ghar,
main usse dhondhta hua firta raha dar badar,

uske gum me mujhe bimariyon ne gher liya tha,
mujhe uski yaad ne din raat tardap tardap ke marne pe majboor kiya tha,

kuchh waqt me hi main pure shahar me badnaam ho gaya,
ek abhagi maa ka achha beta kisi ki yaado me kho kar gumnaam ho gaya,

ab sab ko mohabbat karne se rokna hi kaam hai mera,
koi ek bhi bach jaye meri wajah se...
to samjhunga ki yahi inaam hai mera......

bas itna bata de cheater monika aaj imaan se

mujhe kya waasta tere naam se,
ab matlab mujhe sirf apne kaam se,
tere pyaar mein wajood bhi kho gaya mera,
ab fayeda kya kisi pehchaan se.

jalta hoon main bujhte deepak ki tarah,
lardta hoon jalne k liye main tufaan se,
woh tera hi pyaar tha jisne dard tha diya,
ab mujhe nafrat hai har paigaam se.

zindagi mein tune mujhe sukoon lene na diya,
haan tu jalti thi mere har mukaam se,
tu to bewafa ho ke bhi naam pati gayi,
ab to hum hi bache in galiyon mein badnaam se.

dhoka dekar bhi tu rishte bana leti hai sabse,
hum to reh gaye in rishton ki bheed mein gumnaam se,

main to toot ke bhi kisi se jhoot nahi bolta,
tu to beimaani bhi karti hai bardi shaan se,

logon se khelna mehej shauk hai ya fitrat teri,
bas itna hi bata de cheater monika aaj imaan se.

When I get angry

When I get angry,
I want you to try convince me back...

When I feel sad,
I wish you would try to make me smile...

When I loose hope,
I need you to support me.... and make me strong...

When I act possessive,
I need you to calm me down.. and handle me with maturity.....

When I love you,
I wish you to love me back even more....

rashte badal gaye to unke rishte badal gaye

rashte badal gaye to unke rishte bhi badal gaye,
muskan badal gayi to khusiyan bhi badal gaye,
khusiyan bechne wale aaj khud badal gaye,
dua ki dukan pe aaj tanhai bech gaye...

chalte chalte yon fasana badal gaye,
kabhi humko badalte the, aaj woh khud badal gaye,
jo kehete the dil hai aasiyana tumhrare,
aaj woh apna thikana hi badal gaye...

humare khusi ka jinko tha khayal,
wahi aaj humein be-hissab gham de gaye,
nafrat kiye is tarah ki,
mere dil me pyar ka arth badal gaye..


sayad yehi hai reet unka,
jab rashta badal gaye, to rishte bhi badal gaye..

jaan se jada chahne lage hum

galti itni huyi ke aapko jaan se jada chahne lage hum,
kya pata tha ke meri itni parwaah..
aapko laaparwaah ban dega...

kis kis ko batlaaun main

dil me chuppein kya kya raaz hain, kis kis ko sunaaun main,
hazaar gham khaa ker bhi khaamosh kyu hoon, kis kis ko batlaaun main,
apno ne diye mujhe har gham, aur duniya bann baithi dushman meri,
kaise saah raha hoon ye dard, ye kis kis ko batlaaun main...

kaagaz par likhi hai dard bhari daastaan, kis kis ko sunaanun main,
apna bana ker chord diya ussne, ye kis kis ko batalaun main,
din ka ujaala ho ya raat ka andhera, abb tannha sa ho gaya,
kaise jee raha hoon main shahker ye dard, kis kis ko batlaaun main...

gham me aankhon se girte mere aanshu, kis kis ko dikhlaaun main,
kyu ho chukka itna baichain, ye raaz kis kis ko batlaaun main,
raaj mom ka puttla hai ya phir patthar ka banna ek dhaacha,
kaise ho gayi hai khud se itni naffrat, ye kis kis ko batlaaun main

wo khoob sajjte hain, sawarte hain

khoob sajjte hain, sawarte hain,
jab kabhi wo apne ghar se nikalte hain,
saari duniya se wo galle laga ker milte hain,
sirf mujhse millne se wo katarte hain,


yaadein unki mujhe bahut satati hai,
dil ke aarmaan tardap tardap ke roz marte hain,

wo bhool chuke hain mujhko to bhool jaane do,
aakhir matlabi log hi to badalte hain,

aayana ek rakkh liya ussne,
roz naye naye chahare wo badalte hain,
agar sacchi hoti unki mohabbat to baat bhi bannti,
sirf hone ka dam jo wo bharte hain,

jab bhi daur ye badalta hai,
hum girte hain aur khud hi samhalte hain,
naaz mujhko hai apne wafa pe yaaron,
jispe hum aaj bhi jaan nishaar kerte hain,

khus-mizaaji mizaaj tha mera,
isleye wo log mujhse jalte hain,
maine to unme hi dekh le saari duniya,
log kis tarah ghar naya badalte hain...

tanhaai mujhe dashne lagi

tanhaai mujhe dashne lagi,
dil ko mere chhalne lagi,
raat ke kaale saaye hain,
zindagi meri bikharne lagi,

uff ye dardnaak sannate,
dil ko mere kasne lagi,
teri yaad ki chhadar ordhe,
tanhaai meri simmatne lagi,

ab aa bhi jaa o harjaai,
aashkon ki lardi tootne lagi,
tere pyaar ki thandi chaao,
rooh ko betaab karne lagi,

tardapte hue dil se sehara main,
yadoon ki jalan phighalne lagi,
jalne lage aarzuoon ke diye,
waqt bhi karwat badalne lagi….

na tardpaa tu is tarha sangdil,
saansein bhi ab to meri thamne lagi,
khaawishein machal ke tootne lagi
zindagi ki baazi haarne lagi.

All Time's Favourite Posts