na to manzil na humsafer na koi karwan hai

na to manzil, na humsafer, na koi karwan hai,
raston mein bas dhuan-dhuan sa hai.

unke daman mein to chaand-taare hain,
mere hisse mein to khaali-aasman hain.

zakham pe zakham diye jaata hai,
dil ko lagta hai mera meherban hai.

kayi roz se yeh dil kahin lagta hi nahi,
din hai veeran-veeran, raatein gumzada hain.

zamane bhar ko hua unka deedar magar
udher se muh chhupa ke gujare, jidhar mera makan hai.

jabse bikhra hua saman sajaya hai maine,
ghar bada khali khali sa ho gaya hai.

jo pankh fad-fada ke reh jata hai akser,
dikhta nahi us par kahin mahoul ka rand,

iss shehar mein shayad woh naya-naya hai,
parinda woh abhi jara nadan sa hai.

padosi ka haal poonchun, yeh fursat kahan hai?
mera chulha khud abhi dhuan-dhuan hai.

apne dar-e-jehen pe kuch tikta hi nahi,
abhi zami thi abhi aasman hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts