woh beeti huyi shaam apne saath yaadon ko bhi le gayi,
woh aanshuon mein bheegi huyi ek dastaan bhi thi keh gayi,
bayaan karta hoon apne lafzon mein zazbaaton ki ek kahaani,
pariyon si ek ladki ki ek dard bhari kahaani.
yeh dastaan thi ek masum pari ki jispe pyaar ka saaya tha,
jo toot gayi thi tabse, jabse kissi ne usse thukraaya tha,
khamosh ho chuke labon par ek sannaata chha jata tha,
ashkon se bheege huye chehre se jab zulfon ko maine hataya tha.
muskuraati thi woh hardam harpal woh muskati thi,
main poochhta tha dard uska woh nagme gungunati thi,
jab bheeg jati thi palkein kissi ko yaad karke,
dekhti thi meri taraf dil k tukde char karke,
main thamna jo chahta kabhi woh door hat jaati thi,
mujhse apni dooriyon ka ehsaas bhi dikhati thi,
bebas thi woh dil ke haathon aur iss zamaane se anjaan thi,
nafrat bhi kaise karti woh, usse sirf pyaar ki pehchaan thi.
maine chorda oousse kucch waqt akele uski tanhaai mein,
dil ne roka mujhe bahut par chal diya de kar usse judaai main,
jab lauta main waapas to woh phir se muskuraayi thi,
shayad kissi ke pyaar ki chamak uski aankhon mein utar aayi thi.
ussne bhar ke mujhko baahon mein pyaar se dekha tha,
jab maine usse uski khushi ka raaz poochha tha,
sharmaayi thi woh phir usne dheere se sar ko jhukaya tha,
bataya usne ki dil uska phir kissi par aaya tha.
main khush tha usse dekh kar, uski khushiyon mein muskuraya tha,
par phir kyun utha yeh dard sa dil mein, main isko samajh na paya tha,
main phir chal diya alag raah par usse chord kar uski duniya mein,
tanha reh gaya tha main jaise kyun main isse samajh na paaya tha.
door tha main phir usse par uski yaadon se nahi tha,
shayad main pehli baar uski khushiyon se khush nahi tha,
beete kayi din woh yaadon ke saaye mein thi kho gayi,
zindagi ke ek mord par usse mulakat phir se ho gayi.
main dekhta raha usse, woh mujhko dekhti rahi,
maine poochha na usse kuch, aankhon mein baat ho gayi,
thukraaya tha aaj usne kissi ko, jaane kya baat thi ho gayi,
jaise woh har gham se, har khushi se anjaan ho gayi.
kuch na kaha maine usse, bas phir se dosti ko thaam liya,
mohabbat ke kayi roop hai, bas iss baat ko maan liya,
na chahat thi kissi aur ki, na kissi ke pyaar ki aarzoo thi,
bas woh mere saath thi, na ab kissi ki talaash thi.
dastaan yeh yahin par khatam nahi hoti hai,
yeh zindagi ki iske har panne par nayi ibarat likhi hoti hai.
(Huge Collection of Poems & Sher-o-shayari)
Ek yeh dar hai ki koi zakham na dekh le iss dil ka,
Aur ek hassrat hai ki koi isse dekhne wala hota....!!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
All Time's Favourite Posts
-
jo kisi praani ko maare, woh shaitaan hai insaan nahi, mare hue ko khaye kyu? yeh pet hai shamshaan nahi, jo kaanta koi chubh jaaye, tarda...
-
koi tumse pooche kaun hoon main, tum keh dena koi khaas nahi... ek dost tha, kaccha pakka sa, ek jhooth tha, aadha saccha sa, jazbaaton ko ...
-
tum paas aao to ek ghazal keh doon, zara muskuraao to ek ghazal keh doon, hai barson ki tamanna meri aye jaan, saath gun-gunao to ek ...
-
aankhein michh kar soone se pehle, jazbaat pighal kar roone se pehle, jab aalfaz sinne mein dafan ho jaate hain, tab yaadon se palkein bhigo...
-
kabhi abhimaan to kabhi swabhimaan hai pitah, kabhi dharti to kabhi aasmaan hai pitah, janam diya hai agar maa ne, jaanega jisse jag, woh pe...
-
you never said I am leaving, you never said goodbye, you were gone before we knew it, and only God knows why? a million times I need you, a ...
-
purani pant raffu kara pehante jaate hain, branded new shirt dene pe aankhein dikhate hain, tutte chasme se hi akhbaar padhne ka luft uthate...
-
hamesa ek dussre ke hakk mein.. dua karenge.. yeh tay hua tha, mile ki bichhde.. magar tumhi se.. wafa karenge.. yeh tay hua tha, hamesa ek...
-
aisa bhi nahi hai ke I don’t like your face. par dil ke storage mein no more disk space. kal jab mile the to dil mein huyi ek sound. a...
-
yeh baat samajh mein aayi nahi, aur maa ne kabhi samjhayi nahi, main kaise meethi baatein karoon? jab meethi cheeez khayi nahi. didi ro...
!->
No comments:
Post a Comment